Hum Kon Hain

(Farhan Hussain, Karachi)

Wese ALLAH Ne Apni Banai Hoi Har Cheez Main Ghunjaish Rakhi Hai, Kissi K Ane Or Jane Se Hmain Wakhti Tor Par Dukh Hota Hai Phir Zindagi Wohi Apni Dagar Par Chalne Lagti Hai. Hum Pakistani Is Makoley Ko Bilkul Hifz Kar Bethey Hain. Hum Wo Bemar E Margh Makhlokh Hain Jo Mafad Parasti K Daldal Mai Ghuste Chalay Ja Rahe Hai, Jahan Dekho Har Banda Apne Faide K Bare Main Sochta Hai. Wese Theek Kaha Hai ''Jesi Awam Hogi Unpar Wese Hi Hukmaran Musalat Kiye Jaye Ge''. Yahan Dekhlo Hamare Janab Saddar Musharaf Sahab Apni Kursi Bachane K Chahkar Main Pure Pakistan Ki Baqqa Ko Daao Par Laga Dete Hain, Mr. Perfect Shoukat Aziz Sahab Watan Ko Khokla Kar K Mushkilat K Pahar Khare Kar K Dosre Mulk Sudhar Chuhke, Jahan Laal Masjid Main Masoom Bachiyo Ka Qatal E Aam Ho Hota Raha, Hum Apne Shahriyo Par Bomb Barsa Kar Tahseen Wasol Karte Rahe, Mahnghai Apne Urroj Par Hai, Berozgari, Curruption, Dehshatgardi, Sayasi Rassa Kashi Na Jane Kia Kiya, Kabhi Kabhi Sochta Ho Kahin Pakistan Bana Kar Koi Ghalti To Nahi Hoi, Par Na Umeedi Ghuna Hai Ek Na Ek Din Ye Dhund Chat Hi Jaye Gi Par Uske Liye Humain Jagna Pare Ga, Hmain Apni Zaat Par Watan E Aziz Ki Izzat Mukkadam Karne Ki Zaroorat Hai Take Phir Koi Dushman Hum Par Aankh Utha Kar Na Dekh Sakhey.

Uth Baand Kamar Kiyo Darta Hai
Phir Dekh KHUDA Kia Karta Hai

 

Farhan Hussain
About the Author: Farhan Hussain Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.