Kansar Koee Pur'asrar Bimari Nahain

(فانی مقصو حسنی, kasur)



Kansar Koee Pur'asrar Bimari Nahain

Kansar Koee Fooq-Ul-Fitrat Bimari Nahain Hai. Is Kay Jarsumay Say Bohat Kam Mareez Fori Toor Par Martay Hain. Mareez Kay Marnay Ki Aur Bohat Sari Vajohaat Bhi Ho Sakti Hain. Oon Main Say Chand Eak Ka Zikar Kar Raha Hoon Ta’kah Yah Samjha Ja Sakay Kah Yah Maraz Qabal-E-Alaj Hai Aur Is Ka Shakar Honay Walay Ko Moot Kay Monh Main Janay Say Ba’khobi Bacha’ya Ja Sakta Hai Aur Is Ko Koee Mehnga Alaj Bhi Nahain. Issay Daktar Hazrat Ki Mali Havas Aur Maal Kamaee Kay Hawala Say Mehnga Samjh Aur Mehnga Bana Diya Giya Hai.
Kansar Ke Mareez Ke Marnay Ke Asbab
Jahalat Soni Sanaee Batoon Par Yaqeen Kar Laina Pehlay Say Teh Kar Laina Kah Is Maraz Ka Koee Alaj Moaljah ,Mojood Nahain Aur Mareez Ki Moot Yaqini Aur Teh’shuda Baat Hai. Ghurbat Zati Aur Logoon Say Sonay Sona’ay Totkoon Par Inhasar Aur Oon Ka Bila Takalluf Istamal. Ta’hum Yah Tootkay Bai’maeni Aur La’yaeni Bhi Nahain Hotay. In Kay Istamal Kay Moamla Main Ihtayat Ki Bari Zarorat Hoti Hai. Alaj Ki Taraf Tovajo Karnay Main Dairi Is Ka Matlab Yah Nahain Kah Dosri Ya Taisri Stage Samjh Kar Mareez Ko Maraz Kay Rehm-O-Karam Par Choor Diya Ja’ay.
Allah Karim Nay Her Sata Kay Liay Koee Na’koee Hal Zaroor Rakha Hai. Kisi Cheez Ko Imkan Say Bahar Nahain Rakha. Os Ka Kehna Hai Kah Masusi Gonah Hai. Haspataloon Main Daktar Hazraat Ki Bila Moavza Mareez Kay Moamla Main Tasahal Pasandi, Check Up Main Dairi Aur La’parvahi Mareez Ko Koee Relief Dainay Say Pehlay Testoon Ki Bhar’maar, Ya Phir Mahaz Pain Killer Adviyaat Ka Istamal Ya Nasha’aawar Adviyaat Daina. Testoon Ki Report Main Dairi Baz Reports To Mareez Ki Moot Kay Baad Mosool Hoti Hain. Alaj Ka Aghaz Baray Zalam Injekshanoon Aur Sakht Tarein Adviyaat Say Kiya Jata Hai. Jab’kah Os Waqt Tak Mareez Ki Madafti Qovatain Intahaee Kamzoor Par Chuki Hoti Hain. Is Tara Ossay Doo Mahazoon Par Larna Parta Hai. Natija-E-Kar Kamzori Kay Baes Shakast-E-Fash Say Do’char Hoti Hain.
Gher Mayari Adviyaat Ki Dasyabi Aur Oon Ki Dasyabi Main Roak Toak/Check Up Na Hona Mareez Par Khool Diya Jata Hai Kah Ossay Kansar Hai Aur Ab Bas Ossay Allah Hi Bacha'ay To Bach Ja'ay Ga. Woh Yah Son Kar Hi ½ Mar Jata Hai. Yah Os Ta’asar Ka Natija Hai Kah Yah Maraz Na’qabal-E-Alaj Hai Aur Aakhar Moot Mareez Ka Moqadar Teharti Hai Yah Ta’asar Kah Is Maraz Ka Alaj Hamaray Haan Mumkin Nahain, Ba’zat-E-Khud Moot Hai Halankah Baroon-E-Mulak Is Marz Ka Alaj Mumkin His Nahain. Apnay Hi Alaqa Main Is Ka Alaj Mumkin Ho Sakta Hai.
Mareez Ki Ayadaat Ko Aanay Walay, Khsusan Mohtaram Khatein Ki Hum’dardi Aur Rikat Aamaiz Guftagu Mareez Ko Kha Jati Hai.
Attendant Ki Martay Shakas Kay Sath Ka Sa Rovaeya, Andaz Aur Salook Maraz Say Mail Na Khati Ghaza, Moashi-O-Masharti Tafakraat, Malawat, Girani, Ganda Pani, Na’gowar Mahool Aur Fiza, Gharailu Jhagray Martay Shakas Ka Sa Salook Aur Ravaeaya Daktar Aur Is Paisha Say Motalaq Amlay Ka Qisabi Rovaeya.
Mareez Ko Mareez Say Ziyada Maal Kamanay Ka Zariya Samja Jata Hai. Daktaroon Ki Yah Ada Na’siraf Insaniat Ka Qatil Hai Balkah Samaji Aur Akhlaqi Juram Bhi Hai.
Kaam Say Faragh Karkay Achay Aur Araam Say Din Gozarnay Aur Allah Allah Karnay Ki Talqein Karna.
Research Ka Qehat Aur Foqdan Siraf Allopathic Par Hi Iktafa Aur Issay Hi Mawa-O-Malja Samjh Laina Aur Digar Tariqa Ha’ay Alaj Ko Bai’kar Qarar Day Diya Jana Mareez Ko Alag Thalag Se Mukhlooq Qarar Day Daina Aur Kaar Ha’ay Hayat Say Faragh Kar Daina
Pain Killer Adviyaat Ka Bila'daraigh Aur Bai’tahasha Istamal. Dard Door Karnay Ka Chara Karna Bura Nahain Laikin Assal Maslay Ki Taraf Tovajo Pehli Tarji Hona Chahiay, Jo Sanvi Darja Ikhtayar Kar Gaee Hai.
Baray Fakhar Say Bazari Ashya-E-Khudni Ka Istamal Chatpati, Khati Mithi Aur Taizabiat Bananay Wali Ashya Ka Ba’kasrat Istamal
Sabzioon Main, Gher Combination Rakhnay Wali Ashya Ka Pakwan. Masalay’dar Pakwan.
Bachay Ko, Sinay Kay Hosan Ko Barqarar Rakhnay Kay Liay Dudh Na Pilana. Jabkah Dudh Pilana Bacha Aur Zacha, Donoon Kay Liay Zarori Hai. Pistanoon Say Bachay Ka SAR Lagna/Takrana Ya Kisi Aur Hawala Say Bai’ihtayati
Qabaz Ka Matwatar Rehna
Jald Hazam Na Honay Wali Ashya Ka Istamal
Sabzi Kay Qimati Aur Ossay Motwazan Rakhnay Walay Ajza Ko Kat Kar Phankna (Chilka Baij Waghera)
Khana Kha Kar Lait Rehna
Paidal Chalnay Ka Ravaj Kam Ya Khatam Sa Ho Jana
Kisi Choot Kay Moamla Main Bai’ihtyati Aur La’parwahi Bartna
Parishni, Fikar'mandi, Dukh Waghera,
Dhowaan (Smoke)
Vehham
Nasha’aawar Ashya Ka Istamal.
Takleef Main Nasha Day Kar Sola Dainay Ka Rujhan
Othtay Hi High Potanci Anti-Biotik Ka Istamal Ya In Ka Omomi Istamal Aaram Talbi
Sadgi Say Dori
Balgham Ka Akhraj Rokna
Opreshan (Eak Fisad Sahi, Laikin Yah Sabab Zaroor Hai)
Alaj Say Dori. Maslan Bukhar Hota Hai Bukhar Otarnay Ki Dawa Di Jati Hai Bukhar To Koee Bimari Hi Nahain Ya Pait Main Dard Hota Hai To Buscopan Waghera Day Daitay Hain Halankah Tap Aur Dard Kisi Aza Kay Amal Main Kharabi Ki Nishan’dahi Hai.
Khana Khanay Kay Foran Baad Cha’ay Laina.
Garam Garam Cha’ay Pi Laina
Bachay Ko Zamein Par Khailnay Say Mana Karna
Sehat Kay Moamla Main Adam Tovajgi
Sadma, Kal Parsoon Ki Baat Hai, Eak Sahib Ko Pitay Ka Kansar Tha Woh Aaghi Say Pehlay Dard Main Sahi, Ji Raha Tha. Jonhi Ossay Maloom Howa To Heart Attack Say Chal Basa. Mairay Khayaal Main Ossay Kuch Din Aur Bimari Kay Sath Jina Tha. Yah Woh Zindgi Ki Taraf Lout Sakta Tha.
Kansar Itni Jaldi Kab Marnay Daita Hai. Bohat Waqt Daita Hai Aur Phir Tarpa Tarpa Kar Marta Hai. Eak Hatay Katay Aadmi Kay Hath Ghalti Say Kansar Kay Mareez Ki Report Thama Di Gaee. Woh Dinoon Main Soch Soch Kar Lakri Ho Giya. Kansar Ka Moalja Shuro Ho Giya. Her Aglay Din Halat Kharab Hoee. Mein Ne Ossay Dobara Say Test Ka Mashwara Diya. Ossay Siray Say Yah Maraz Tha Hi Nahain. Yaqeen Manain Woh Eak Haftay Kay Andar Andar Phir Say Pehlay Sa Ho Gya.
Libas Aur Colors Main Tabdili Na Lana
Mutbadlaat Ka Nazar’andaz Hona. Jis Tara Saieb/Apple Ka Mutbadal Gajar Hai.
Taza Gajar, Saieb/Apple Kay Hotay Gajar Kay Morabay Kay Khanay Ka Kya Jawaz Hai.
Zana’kari, Jo Khoof Pashmani Aur Aza-E-Raesa Ki Kamzori Ka Sabab Banti Hai Viraj Ka Ziya Na’qabal-E-Talafi Noqsan Hai Is Liay Zana’kari Say Ijtanab Intahaee Zarori Hai. Islam Main Char Shadioon Ka Jaez Hona Bai’maeni Aur Bila’jawaz Nahain
Bhook Rakh Kar Na Kana.
Allah Sahib Kay Naam Say Aaghaz Na Karna Aur Ekhtatam Par Allah Sahib Ka Shukar Ada Na Karna.
Dant Ki Gher Monasab Safaee Ya Mail Na Khati Paist Ka Istamal. Yah Bhi Kah Miswak Ko Nazar Andaz Kya Jana.
Nakhan Bharana Ya Oon Ka Baqaedgi Saray Say Kata Na Jana

Kuch Mazeed Batain

Aakhar Dudh, Podinay, Dhnay, Anar’danay, Tulsi Ya Sada Kachay Piyaz Kay Sath Roti Khanay Main Kya Kharabi Hai.
Mati Kay Bartan Main Khana Kayoon Nahain Pakaya Ja Sakta.
Gharay Ka Pani Pinay Main Kya Boraee Hai?
Kuch Khanay Kay Baad Teen Bar Koli Kar Lainay Main Yaqinan Kuch Kharach Nahain Aata.
Neem Kay Patay, Haldi, Phatkari, Namak Milay Pani Ya Neen Ke Pakkay Pani Par Pishaab Karnay Main Koee Kharach Nahain Aata.
Mosam Kay Sastay Phal Khanay Say Qodrati Toor Par Rbcs Aur Wbcs Ki Tarkeeb-O-Tashkeel Main Madad Milti Rehti Hai.
Kharay Ho Kar Khanay Pinay Se Ijtanab Kartna Chahihiay. Kharay Ho Kar Khana Pina Khatarnak Hai.
Zamein Par Saaf Kapra Bicha Kar Aur Chokri Mar Kar Khana Khana Chhiay.
Bazahar In Main Say Kuch Chaizain Kansar Say Mota'alaq Maloom Nahain Hotien Laikin Yah Manfi Chizain/Batain Kisi Bimari Ko Taqviat Ponchati Hain Ya Kisi Na’kisi Bimari Ka Sabab Zaroor Banti Hain. Jo Aagay Ja Kar Shifa’yabi Na Honay Ki Surat Main Kansar Ka Roop Dhar Laiti Hai.

Mareez Kansar Kay Jarsumay Say Nahain Marta

Her Bimari Kisi Na’kisi Androni Aza Main Tabdili, Kharabi Ya Gher'zarori Moshakat Ka Natija Hoti Hai. Ab Mein Kehta Hoon Gher Mehsous Andaz Say Mojoda Aur Aadi Mamolaat Main Tabdili Laee Ja’ay To Is Say Mairi Marad Androni Aur Bahar Kay Mamolaat Hotay Hain. Baroni Tabdiliaan:
1- Majoda Rehan Sehan Aur Os Say Motalqaat
2- Mojoda Mahool Main Tabdili
3- Mosamoon Ki Tabdili
4- Othnay Baithnay Kay Momolaat
5- Khanay Pinay Ki Tarteeb
6- Khanay Pinay Kay Oqaat Main Tabdili
7- Pasand Na’pasand Main Tabdili
8- Pasand Na’pasand Ki Tarteeb Main Tabdili
9- Her Qisam Kay Tasalsal Aur Tawatar Ko Tabdeel Kya Ja’ay
10- Roz’mara Kay Momolaat Tabdeel Ki’ay Jaein
11- Rangoon Ki Verity Tabdeel Hoti Rehni Chahiay
12- Nafrat Say Mohabat Aur Mohabat Kay Mamolaat
Aur Atwar Main Tabdili
13- Tovajo Batanay Kay Sabqa Atwar
14- Daktar Ke Sar Par Sawari Taqriban Khatam Ki Ja’ay
Mareez Say Ziyada Motalqein Say Rabta Bananay Ko
Tarji Di Ja’ay
15- Aanay Janay Kay Rastoon Tak Main Tabdili Laee Ja’ay
16- Jism Ko Eak Hi Dawa Ka Adi Na Banaya Ja'ayy
Lihaza Adviyaat Main Dusray Tisray Tabdili Laee Ja’ay
Ya Kam Az Kam Oon Kay Oqaat Tabdeel Kartay
Rehna Chahiay
17- Khana Porana Hai To Bartan Pehlay Walay Na
Rahain
Androni Aza Kay Function Main Tabdiliaan Lanay Ki Baat Bila’shuba Hiran’kun Aur Ahmqana Si Lagti Hai Laikin Yah Otna Hi Zarori Hai Jitna Baroni Tabdilioon Ka Lana Zarori Hota Hai. Maslan
A- Khorak Ki Tabdili Say
B- Walk Aur Warzesh Kay Mukhtalif Harboon Say
C- Sochoon Main Tabdili La Kar
D- Jumla Havas Par Mukhtalif Hawaloon Say Asar’andaz
Hor Kar
E- Mosmoon Kay Tafawat Kay Zariay
F- Mashrobaat Main Tabdili Say
G- Khush Rakh Kar
H- Tarjihaat Main Tabdili La Kar
Adviyaat Main
Calc Flour (6) TDS
Kali Phos (30) OD Ka
Kisi Bhi Surat Main Naga Nahain Hona Chahiay. Digar Main
Apes
Belladonna (30)
Selenium (30)
Naja (30)
Thoja (30)
Ya Jo Bhi Dawa Laga Rakhti Ho Mareez Kay Baltay Mazaj Aur Badalti Halat Kay Motabaq Di Jinai Chahiay. Yaad Rehna Chahiay Mareez Ka Her Lumha Mazaj, Halat, Zarorat, Rujhan, Khaesh Waghera Main Tabdili Aati Rehti Hai Is Liay Eak Hi Dawa Ka Daina Monasab/Sood’mand Na Ho Sakay Ga. Ghar Waloon Ko Is Moamla Main Bara Hi Sensitive Hona Paray Ga. Attendant Ko Moalaj Ki Si Hasiat Hasal Hoti Hai Woh Mareez Ki Halat Zarorat Waghera Ko Ba’chasham-E-Khud Daikhta Rehta Hai Is Liay Ossay Choti Choti Tabdilioon Ko Nazar Main Rakhna Ho Ga. Is Kay Liay Ossay Lamha Lamha Ki Khabr Likhtay Jana Chahiay Is Say Mareez Kay Daktar Ko Alaj Main Aasani Rahay Gi. Adviyaat Kay Sath Sath:
1- Khiray Ki Jhaag Pani Main Mala Kar Di Ja’ay
2- Eak Waqt Main Eak Sabzi Ki Yakhni Bana Kar Os Main
Say Eak Chamach Jab Mareez Pani Talab Kary, Pani
Kay Glass Main Mala Paish Ki Ja’ay.
3- Her Qisam Ka Phal Mareez Ko Diya Ja’ay. Pabandi Na
Rakhi Ja’ay Jitna Ji Chahay Kha’ay Chahay Eak Qash
Hi Kayoon Na Lay.
4- Phal Ka Juice Nikal Kar Rakh Lain. Jab Mareez Pani
Talab Kary, Pani Kay Glass Main Eak Chamcha Mala
Paish Ki Ja’ay.
Rang Aur Shmsi Tavanaee
Rang Zindgi Main Bara Aham Kirdar Rakhtay Hain. Mareez Ko Jo Rang Pasand Ho, Os Rang Ki Botal Ya Phir Os Rang Ka Patla Kaghaz Boltal Par Lipait Lain. Pani Say Bhari Yah Botal 6 Ta 8 Ghaintay Kari Dhoop Main Rakhain Baad’azaan Ossay Thainda Karkay Mareez Ko 2 Se 3 Chamach Pani Main Mila Kar Dain Aur Yah Amal Tawatar Say Hona Chahiay.
Wasael Omuman Sad-E-Rah Bantay Hain Aur Ghurbat Kaam Bigarti Hai Laikin Ghurbat Main Bhi Mamolaat Main Tabdili Lana Mushkal Kaam Nahain. Rastoon Ki Tabdili, Dhoop Main Chaoon Ki Khaesh, Pakwan Kay Zaeqay Badal Kar, Namak Kam Rakh Kar Namak Ki Khaesh Paida Ho Sakti Hai, Mirch Ziyada Rakh Kar Kam Mirch Kay Liay Rujhan Ho Sakta, Tovajo Tabdeel Karkay Waghera Waghera Qisam Kay Aqdam Aur Harboon Main Koee Dushwari Ya Kharach Nahain Aata. In Tamam Iqdamaat Ka Kya Faeda Ho Ga?
Rozmara Kay Mamolaat Khorak Ki Tabdili Say:
1-Androni Aza Kay Function Main Tabdili Aa’ay Gi Jab’kah Bimiri Kay Jaraseem Sabqa Mukhsous Halaat Main Parwan Charay Hotay Hain. Wo Tabdiloon Kay Ammal Main Apni Survival Barqarar Na Rakh Paein Gay. Dusra Khanay Pinay Kay Mamolaat, Taste, Oqaat, Variety Aur Pakan Ki Cooking Mamool Say Hatnay Say Oon Main Baichaini Bharay Gi Natija’kar Oon Ki Bahmi Thun Ja’ay Gi. Is Ki Zinda Missal Yah Hai Kah Karoroon Sperms Main Say Eak Doo Hi Uterous Main Dakhal Ho Patay Hain Baqi Eak Dusray Kay Hatoon Moot Kay Ghat Otar Jatay Hain. Ya Yah Missal Lay Lain Eak Aadmi Mukhsous Masaloon Main Bhona Howa Ghost Khata Raha Hai Aur Woh Is Ka Arsa Daraz Say Aadi Hai. Ab Ossay Pehlay Masaloon Say Hat Kar Masaloon Main Paka Shorbay Wala Ghost Khanay Ko Diya Jata Hai. Yah Ammal Androni Tabdilioon Ka Sabab Banay Ga.
Eak Shakas Bhains Ka Doodh Pita Chala Aa Raha Hai Ab Bhains Kay Doodh Ki Bajay Onthni, Bakri Ya Phir Ga’ay Ka Doodh Pinay Ko Diya Ja’ay.
Eak Shakas Hot Tea Ka Adi Hai Ab Ossay Ice/Cold Tea Di Ja’ay. Eak Aadmi Chaoon Walay Rastay Say Guzarta Hai Aur Yahhi Hamaisha Say Os Ka Mamool Raha Hai. Ab Ossay Dhoop Walay Rastay Say Gozarna Parta Hai. Andar Chaoon Ki Khaesh Paida Ho Gi. Yah Kaesh Pehlay Routine Ki Zarorat Ho Gi. Puri Na Honay Kay Sabab Andar Kay Function Main Tabdiliaan Aaein Gi. Yah Tabdiliaan Bimari Kay Jarasemoon Ko Kisi Bhi Hawal Say Khush Na Aaein Gi.
Is Moamla Main Eak Zarori Baat Note Karni Chahiay Kah Bar Bar Tabdiliaan Laee Jaein. Eak Mamool Na Rehnay Di Ja’ay.
2-Blood Cells Ki Haiat-E-Tarkibi Main Tabdili Aa’ay Gi. Os Ka Function Tabdeel Ho Ga. Is Hawala Say Bannay Wala Khoon Bimari Kay Jarasimoon Kay Liay Kisi Kaam Ka Na Ho Ga Bal'kah Oon Ke Liay Zahir E Qatil Ban Ja'ay . Is Tara Wo Bhokoon Marain Gay Yah Phir Eak Dusray Ki Khorak Ban Jaein Gay.
3-Madafti Fooj Na’ay Siray Say Eak Dusray Andaz Aur Naee Qisam Ki Tavanaee Kay Sath Taiyar Ho Gi. Yah Fooj Jarasimoon Ko Kisi Tara Bardasht Na Karay Gi Aur Na’anday Aur Naee Tariqa Ha’ay Kar Say Jang Ka Aaghaz Karay Gi. Is Fooj Ki Taqat Aur Larnay Kay Atwar Say Bimari Kay Jaraseem Motahammal Na Ho Sakain Gay.
4- Jis Kamzoor Hissa Main Bimari Kay Jaraseem Panah Gazein Hoon Gay Wahahaan Bilkul Mukhtalif Qisam Ka Khoon Ja Sakay Ga. Is Kay Doo Fawaed Hoon Gay:
A- Wo Hissa Zindgi Ki Taraf Lotna Shuro Kar Day Ga Aur Os Ka Function Pehlay Say Mukhtalif Andaz Aur Toor Ka Ho Ga Aur Yah Bimari Kay Jarasemoon Kay Liay Mohlak Sabat Ho Ga.
B-Yah Naee Tara Ka Khoon Aur Is Kay Rbcs Bimari Kay Liay Kisi Kaam Kay Na Hoon Gay. Is Hawala Say Bimari Kay Jarasemoon Ki Nash-O-Nama Ruk Ja’ay Gi Aur Lamha-Ba-Lumha Kamzoor Partay Jaein Gay.
Panch Moalgein Ki Zarorat
Hamaray Haan Baad’qismati Yah Hai Kah Mareez Ko Madi Laclach Ki Waja Say Bohat Hi Kaam Waqt Diya Jata Hai. Warna Is Mozi Marz Kay Liay Panch Masihaoon Ki Zarorat Hoti Hai:
1- Qualified Record Keeper Jo Bari Zimadari Say Mareez
Ki Naqal-O-Harqat Ko Note Karay
2- Mahar-E-Nafasyaat Jo Mareez Kay Khatamay Main
Bara Aham Kirdar Ada Kar Sakta Hai Aur Woh:
A- Mareez Ki Soch Kay Dharay Badal Sakta Hai
B- Jinay Ki Khaesh Ko Do’chand Kar Sakta Hai Aagay Bharnay Say Pehlay Batoor Hawala Eak Missal Paish Kana Zarori Samjta Hoon. Eak Shakas Kisi Ko Qatal Karnay Kay Liay Baray Ghusa Say Dhora Chala Ja Raha Hai. Rasta Main Koee Ossay Rook Kar Moamla Pochnay Baith Jata Hai Aur Woh Dil Khool Kar Sara Majra/Qissa Keh Daita Hai. Keh Dainay Kay Baad Woh Kisi Ko Qatal Karny Ki Pozishan Main Nahain Rakhta. Halan’kah Ossay Samjaya Nahain Giya Hota.
3- Baroni Mamolaat Main Gher Mahsous Andaz/Tariqa
Say Tabdiliaan Lanay Wala
4- Khorak Kay Zariay Androni Aza Main Tabdiliaan Lanay Wala
5- Adviyaat Kay Hawala Say Is Mozi Maraz Kay Jaraseem Kay Khalaaf Jang Larnay Wala Mareez Ka Attendant Bhi Qabal, Zimadar, Maraz Ki Noeat Samjnay Wala Hona Chahiay. Yah Baat Zehan Nasheen Rehni Chahiay Kah In Sab Ka Bahmi Rabta Aur Sala Mashwara Rehna Chahiay. Goya Woh Eak Team Ka Sa Kirdar Ada Karain. Kaam Mukhtalif, Laikin Maqsad Eak. Giyara Khilari Apnay Apnay Hawala Say Eak Marboot Khail Khail Kar Goal Karnay Ki Thantay Hain. Zindgi Kay Liay Moalajein Khilari Ki Se Lagan Kay Sath Yah Qabal-E-Izzat Masiha Sahiban Kaam Kayoon Nahain Kar Saktay?!

Bimari Rahmat Ya Zahmat?!

Allah Karim Ki Zaat E Grami Nay Tamam Ashya Ko Oon Kay Hawalah Say Khoob Paida Kiya Aur Oon Main Oon Ki Takhleeq Kay Hawah Say Johar Aur Kamal Rakh Diay Ta’kah Wo Apni Alag Say Ihmiat, Pehchan Aur Shanakht Barqarar Rakh Sakhain. Sab Say Alag Baat Yah Kah Oon Tamam Main Insan Kay Liay Koee Na’koee Faeda Zaroor Rakh Diya. Goya Tamam Ashya Insan Ki Khidmat Kay Liay Mamoor Kar Dein. Yah Eak Dusri Baat Hai Kah Insan Oon Say Faeda Hasal Na Kar Sakay Ya Samjh Na Sakay Ya Samjhnay Ki Koshesh Hi Na Karay. Hamaray Haan Ka Omomi Rovaj Hai Kah Hum Sab Kuch Allah Sahib Par Choor Daitay Hain Aur Khud Say Kuch Karnay Ki Zahmat Gowara Nahain Kartay, Yah Koee Sehat’mand Baat/Rovaeya Nahain. Bila’shuba Allah Sahib Qadir-E-Motliq Hai. Saray Ikhtiyaraat Ossi Kay Hath Main Hain Laikin Os Nay Koshesh, Aur Koshesh Kay Liay To Kaha Hi Hai. Jab Insan Jid-O-Johad Karta Hai Tab Hi Os Ki Madad Barkat Aur Meharbani Nazal Hoti Hai. Os Ki Ataoon Ko Bana Sanwarna Hifazat Na’ay Istamalaat Daryaft Kana Waghera To Insan Ki Zima’dari Hai. Gandam Os Nay Khoob Di Os Main Barkat Bhi Rakhi Ab Ossay Saaf Karma Aata Pisana Aatay Ko Ghondna Phir Aag Waghera Jala Kar Rotiaan Banana To Insan Ki Zima’dari. Hum Chahtay Hain Kah Wo Nichay Otar Kar Hamaray Yah Kaam Bhi Kar Ja’ay. Kya Yah Sehat’mand Andaz-E-Hayat Hai, Yaqenan Nahain.
Insan Tamam Makhloqaat Say Afzal Tarein Makhlooq Hai. Issay Auroon Se Bhar Kar Aqal Aur Danish Ki Nimat Say Nawaza Giya Hai. Yah Sochta Hai Samjhta Hai. Naee Tarhain Nikalta Hai. Barikioon Ko Jannay Ki Saee Bhi Karta Hai Es Cheez Nay Insan Ko Dusroon Par Afzaliat Baklhshi Hai. Kalam Main Bar Bar Yah Sawaliya Milta Hai, Aur Tum Ghoor Kayoon Nahain Kartay. Asal Moamla Yah Hai Jab Insan Lalach Havas Aur Jama Karnay Main Lag Jata Hai To Aaghi Kay Darwazay Os Par Wa Nahain Hotay. Aaghi Aur Mada Ki Jor Jama Ka Lalach Eak Sath Nahain Chal Saktay Ya Ilm Is Liay Hasal Kiya Ja’ay Hai Ta’kah Bohat Sari Dolat Ikhtiyaraat Hath Lag Jaein. Yah Ho Hi Nahain Sakta Kah In Donoon Ka Kisi Bhi Moqam Par Milan Ho Sakay. Ilm Is Liay Hasil Kiya Jata Hai Kah Aaghi Kay Darwazay Khol Jaein Aur Insan Bohat Kuch Jan Kar Khushi Farhat Aur Aasudgi Hasal Kar Sakay.
Allah Sahib Alim Hai Woh Chahta Hai Kah Insan Bhi, Jo Os Ki Sab Say Khoob Tarein Makhlooq Hai, Bhi Alim Ho. Allah Sahib Ilm Kay Hawala Say Insan Ki Zafar’mandi Ko Pasand Farmata Hai. Insan Ki Aaghi Allah Sahib Ko Kuch Aati Hai. Yah Fitri Asool Hai Kah Baap Chahta Hai Kah Os Ki Oulad Taraqi Karay. Ustad Shagird Ki Taraqi Say Kush Hota Hai Aur Os Par Fakhar Karta Hai. Insan Allah Sahib Ki Afzal Tarein Makhlooq Hai Jab Insan Taraqi Karta Hai To Woh Bhi Kush Hota Hai. Baap Aur Ustad, Allah Sahib Kay Moqabla Main Raee Kay Darja Par Nahain Aatay. Jab Yah Jo Os Kay Moqabla Main Mamoli Bhi Nahain Hai, Kush Hotay Hain To Wo Jo Malik Aur Takhl’kar Hai Kayoon Kush Nahain Ho Ga?!
Agar Insan Ba’izzat Aur Dusroon Say Bhar’kar Jina Chahta Hai To Ossay Ilm, Aaghi Kay Liay Hasal Karna Ho Ga. Ilm Aur Doulat Ko Doo Alag Khanoon Main Rakhna Ho Ga. Ilm Doulat Hasal Karnay Ka Zariya Nahain. Aisa Ilm Naqas Rehta Hai Aur Insan Kay Liay Sood’mand Sabat Nahain Hota Balkah Zahmat Ka Sabab Banta Hai. Apni Baat Ko Sankroon Zinda Misaloon Say Wazay Karnay Ki Pozishan Main Hoon. Yahaan Siraf Eak Missal Par Iktafa Karkay Asal Modday Ki Taraf Aa Jaoon Ga.
Yahaan Eak Khatoon Lamba Chora Altrasound Karnay Ka Tajarba Rehti Hai. Pehlay Pehal Oon Kay Nataej Achay Hotay Thay Laikin Ab Jab’kah Khasa Tajarba Rehti Hain Oon Kay Nataej Qabal-E-Itmad Nahain Rahay, Kayoon?! 1- Oon Kay Pas Rozana 150/200 Log Aatay Hain Jihain Oonhoon Nay ¾ Ghentoon Main Niptana Hota Hai Is Liay Tovajo Main Kami Aa Gaee Hai.
2 - Mali Asudgi Ke Sabab Motkabar Ho Gaee Hain. Koee Bhi Mutkabar Apni Zaat/Khaal Ke Main Nahain Rehta. Is Liay Os Ka Kaha Sona Qabal-E-Ptmad Nahain Rehta.
3- Doulat Kay Lalach Nay Onhain Risarch/Honar Say Door Kar Diya Hai Aur Woh Lagi Bandhi Tarkiboon Ko Istamal Main Lati Hain.
4 - Zarori Aur Gher Zarori Say Doori Ikhtayar Kar Gaee Hain
5-Motalaq Aur Gher’motalaq Ka Imtiyaz Oon Say Chen Gya Hai.
Mein Nay Amargansi Kay Hawala Say Baat Ki To Mairay Eak Dost Nay Jawaban Kaha Shah Ji Yah Shosha Na Chorna. Ghariboon Ki Jaieb Par Aur Bojh Bun Ja’ay Ga. Jab’kah Moamla Wahein Rahay Ga. Eak Hi Darakht Ka Pahal Size Aur Zaeqa Main Mukhtalif Hota Hai Kayoon?
Yah Sawal Bara Ahum Hai Us Par Ghoor Karnay Ki Zarorat Hai. Aakhar Eak Mitha Eak Phika Eak Bai’zaeqa Eak Karwa Eak Baad’zaeqa Eak Khata Mitha Eak Kiraydar Eak Kharab Eak Dagi Ya Kana Kayoon Hota Hai. Aakhar Kis Cheez Nay Yah Moamla Paida Kiya Hai. Intahaee Ghoor Talab Baat Hai. Insani Aza Cells Say Tarkeeb-O-Tashkeel Patay Hain Aur Yah Cells Bahar Say Milnay Walay Ghazaee Aur Dusray Anasar Say Bantay Hain. Sab Cells Eak Se Haiat-E-Tarkibi Kay Malik Nahain Hotay. In Main Faraq Hota Hai. Yahhi Karwa Mitha Bai’zaeqa Waghera Ka Sabab Bantay Hain. Jab Tak Cells Kay Codes Aur Haiat-E-Tarkibi Tak Rasee Ki Saee Nahain Ki Ja’ay Gi, Masla Hal Nahain Ho Sakay Ga. Yah Sab Gher’ Mutwazan Surat-E-Hal Ka Natija Hota Hai.
Tasalsal Aur Tawatar Bhi Vaja-E-Kharabi Ho Sakta Hai. Sabzioon Aur Phaloon Main Kiray Par Jatay Hain. Kiray Kayoon Partay Hain?
Kisi Cell Main Kharabi Ya Ajza-Ay-Tarkibi Kay Adam’twazan Kay Natija Main Kiray Partay Hain.
Kya Yah Kiray Cell Kay Tamam Ajza Ko Luqma Banatay Hain?
Nahain, Koee Mukhsous Juz Hi Oon Ki Khorak Hoti Hai. Haan Os Juz Kay Khorak Bannay Say Digar Ajza Bhi Kharabi Ka Nishana Bantay Hain. Kya Yah Kiray Makhlooq Hain Ya In Ka Paida Karnay Wala Koee Nahain?
Yah Mukhlooq Hain Aur Yah Bhi Allah Sahib Ki Makhlooq Hai. Is Hawala Say Yah Bai’maeni Nahain Ho Saktay:
In Ki Mojodgi Kisi Na’kisi Faeday Ka Sabab Zaroor Hai. Yah Bhi Kah Yah Zahmat Nahain Rahmat Hain.
In Ki Padaesh Main Koee Na’koee Allah Sahib Ki Hikmat Zaroor Mojood Hai Aur Kisi Na’kisi, Khud Os Cheez Kay Liay Aur Insan Kay Liay Is Main Faeda Zaroor Mojood Hai. Allah Sahib Nay Koee Cheez Bai’kar Say Paida Nahain Farmaee. Dikhnay Wali Zahmat Kay Sath Rahmat Ka Mojood Na Hona Momkin Hi Nahain. Yah Qanoon-E-Qudrat Kay Khalaf Baat Hai. Insane Kay Liay In Kiroon Kay Hawala Say Faeda Mood Hai. Yah Bimarioon Ki Shifa Kay Liay Faeda’mand Hain. Insani Jisam Kay Kisi Cell Main Kharabi Honay Kay Sabab Os Main Kiray ) Jaraseem/Jarsumay) Par Jatay Hain. Wo Kiray Cell Kay Tamam Ajza Ko Khorak Nahain Banatay Koee Mukhsous Juz On Ki Khorak Banta Hai. Haan Is Say Disray Ajza Bhi Motasar Hotay Hain.
Bimari Mukhlooq Hai. Issi Tara Bimari Kay Kiray Bhi Apni Manviat Rakhtay Hain. Yah Kiray Kisi Na’kisi Sata Par, Kisi Na’kisi Hawala Say Apni Afadiat Rakhtay Hain. Is Amar Ka Khoj Lagana Abhi Baqi Hai.
Her Bimari, Mukhlooq Honay Kay Hawala Say Apni Afadiat Rakhti Hai. Shakhas Is Say Ghabrata Hai. Yah Aza Kay Kisi Cell Kay Ajza Main Baroni Adam’tawazan Ki Taraf Ishara Hota Hai Ta’kah Insan Apnay Baroni Adam’tawazan Ko Motwazan Kary. Maslan
Sadma Lo Gay To Cells Damage Hoon Gay
Fakar’mand Hoon Gay To Sar’dard Ka Shaker Ho Jao Gay Jo Aagay Ja Kar Intashar-O-Fashar Ka Mojab Banay Ga Jo Brain Hamrig Ka Mojab Ban Sakta Hai.
Basi Ghaza Khao Gay To Hazma Kharab Ho Ga. Hazmay Ki Kharabi Kuch Bhi Kar Sakti Hai.
Kisi Zakham Par Khoon Roknay Ki Gharaz Say Ganda Kapra Bandho Gay To Yah Mazeed Kharabioon Ka Sabab Banay Ga.
Cheink Roko Gay To Bhi Kharabi Ki Surat Niklay Gi.
Kanta, Paper Pin Say Nikalo Gay To Kharabi Ki Surat Niklay Gi
Gher Fitri Ajza Ka Pakwan Kharabi Paida Karay Ga
Bhook Say Ziyada Khao Gay To Bimar Paro Gay
Gharz Un’gint Is Hawala Say Misalain Fatrahum Ki Ja Sakti Hai. Is Zaviya-E-Nazar Say Ghoor Karain Gay To Bimari Kay Kiray Zahmat Kay Sath Sath Rahmat Ka Sabab Bhi Nazar Aaein Gay. Goya Bimari Zahmat Nahain Rahmat Hai Aur Yah,
“Take Care”
Kay Mafaheem Ko Kholti Hai. Shakar Honay Ki Surat Main Baroni Tabdili Ka Taqaza Karti Hai. Yah Aae Tabdili Ko Nazar Main Karnay Ki Khuli Dawat Daiti Hai.
Baroni Mosam Halaat Zaroratain Batan Par Asar Andaz Hoti Hain. Moods In Par Sonay Par Sohagay Ka Kaam Karta Hai. Goya Badaltay Moods Jo Halaat Ka Natija Hotay Hain, Karway Mithay Phikay Waghera Ka Sabab Bantay Hain. Tabdiliaan Oon Par Asar Andaz Hoti Hain. Cells Kay Codes Ko Daryaft Karnay Say Aakhri Sans Tak Ka Andaza Karna Momkin Hai. Khud Shakas In Baroni Tabdilioon Par Ghoor Kar Sakta Hai. Konsi Tease Karti Hain Aur Konsi Farhat Daiti Hain, Kisi Aur Say Pochnay Ki Hergiz Zarorat Hi Nahain Parti. Shakas Farhat Bakhsh Tabdiliaan La Kar Apni Bimari Ka Khaud Hi Alaj Kar Sakta Hai. Warna Aaj Kay Bashtar Daktar Hazrat Baray Hazrat Hain. Mamoli Baat Ko Testoon Kay Chakar Main Dal Kar Kamaee To Kar Laitay Hain Laikin Admi Ko Kisi Mohlak Maraz Ka Mareez Zaroor Bana Daitay Hain. Cells Ki Tarkeeb-O-Tashkeel Badaltay Halaat Kay Tehhat Rehni Chahiay. Organs Ko Cells Ki Naee Varity Ka Mayasar Aana Intahaee Zarori Hai. Sawal Yah Hai Kah Phal Kay Zaeqay Ka To Andaza Hota Rehta Hai Laikin Insani Organs Kay Cells Kay Karway Mithay Ka Kayon’kar Andaza Ho Sakta Hai. Ba’zahar Is Ka Andaza Chilinical Laborty Main Hi Momkin Hai. Mein Kehta Hoon, Tovajo Ghoor Soach Aur Fikar Say Bhar’kar Koee Chilinical Laborty Hi Hi Nahain. Woh Khud Apnay Andar Aanay Wali Tabdilioon Ka Ba’khobi Andaza Kar Sakta Hai Aur Badlao Ki Suratain Paida Kar Sakta Hai.
Insan Ko Pata Hota Hai Kah Dard Kayooon Ho Raha Hai, Kayonkah:
Woh Janta Hai Os Nay Kya Khaya Piya Kahan Say Aa Kar Dard Shoro Howa
Kis Fikar Nay Ossay Dard Diya
Ossay Yah Bhi Maloom Par Jata Hai Kah Konsi Cheez/Halat Ossay Raleif Faram Karti Hai Aur Koon Say Takleef’deh Sabat Hotay Hain.
Konsi Tabdili Os Kay Liay Sood’mand Rehti Hai. Kya Karay Aur Kya Na’kary, Jis Say Ossay Faeda Mil Sakta Hai, Yah Sab Shakhas Yaqenan Khud Say Maloom Kar Sakta Hai.
Angraizi Ka Eak Mukhtasar Magar Mukhsous Jamay Aur Maroof Jumla Hai:
Take Care
Urdu Main Apna Khayaal Rakheay
Yah Jumla Kisi Pas’manzar Kay Bagher Hi Tarkeeb Pa Ga Aur Yah Baimaeni Aur La’yaeni Hai?!
Yaqenan Aisi Baat Nahain. Is Ka Pas’manzar Mojood Hai Aur Yah Apnay Maeni Rakhta Hai. Apnay Bahar Kay Mahool Ko Motwazan Raheay Ta’kah Aap Ka Andar/Batan Ka Nazam Moztwazan Reh Sakay Aur Aap Bimar Na Parain. Towazan Ki Kharabi Bimari Ka Sabab Banti Hai. Jism Jis Baat Ka Taqaza Karta Hai Os Ki Farahmi Bahar’surat Zarori Hai. Jis Say Mana Karta Hai Os Say Manay Aana Her’chand Zarori Hai.

ALAJ MOALAY SAY PEHLAY KHAMIR KAY AJZA PAR GHOOR KI ZARORAT

Allah Sahib Ka Kehna Hai Kah Insan Ko Teen (Mati) Say Takhleeq/Paida Kya Giya Hai. Hazrat Amir (AS) Is Ki Wazahat Kay Zumray Main Apnay Eak Khutbay Main Farmatay Hain,
Insane Ko Mukhtalif Amarja Ki Mati Akathi Karkay Banaya Giya.
Goya Insan Mati Say Bana Yah Mati Mukhtalif Amarja Say Li Gaee. Mati Mukhtalif Ajza Say Tarkeeb Paee Hai Aur Her Juz Ki Taseer Dosri Say Alag Hai. Issi Tara Mukhtalif Amarja Ki Mati Kay Ajza Main Faraq Hai. Mamasal Ajza Ki Taseer Main Bhi Yaqinan Tanasab Aur Taseer Ka Faraq Rehta Hai. In Ajza Main Pani Miqdar Main Ziyada Hota Hai. Issi Tara Mukhtalif Jagoon Kay Pani Ki Taseer Alag Say Hoti Hai. Ajza-E-Tarkibi Kay Tanasab Main Bhi Faraq Hota Hai. Yahhi Surat Digar Ajza Ki Taseer Kay Sath Dar’paish Rehti Hai. Is Hawala Say Daikha Ja’ay To Mareez Ko Na’siraf Os Kay Apnay Hawala Say Daikhnay Ki Zarorat Hoti Hai Balkah Os Alaqa Ka Mati Pani Ki Taseer Aur Ajza –E-Tarkibi Ko Bhi Daikhnay Ki Zarorat Ko Nazar Main Kanay Ki Zarorat Rehti Hai. Is Hawala Say Doo Kaam Karna Hoon Gay:
1- Os Alaqa Ki Mati Pani Ki Majmoee Taseer Aur Ajza-Ay-Tarkibi Kay Tanasab Say Waqfiyat Rakhna Paray Gi. Madafti Qovatoon Ki Mazboti Issi Tanazar Main Baqarar Rakhna Ho Gi.
Jahaan Alaj Moalja Ahaum Hasiat Rakhta Hai Wahaan Madafti Qovat Ko Mazboot Say Mazboot Karnay Ki Zarorat Ko Nazar Andaz Karna Kharabi Say Nipatnay Main Kamzori Daikhana Ho Gi. Jab Yah Maloom Hai Kah Kansar, Aid Aur Yarqan (Hapataitas B) Jaisay Mozi Marzoon Kay Liay Zalim Qisam Ka Injection/Adviyaat Daina Hai To Madafti Qovat Ko Bhi Taqviat Daina Ho Gi.
Mareez Ki Madafti Qovat Bimari Say Naburd’azma Ho Gi Kah In Adviyaat Kay Sakhat Tareen Raad-E-Amal Say Barsar-E-Paikar Ho Gi. Yah Baat Mein Nay Is Hawala Say Bhi Arz Ki Hai Kah Hamaray Haan Allopathic Par Hi Yaqein Rakha Jata Hai Jab’kah Digar Tariqa -Ha’ay-Alaj Say Parhaiz Hi Rakha Jata Hai. Ta’hum Koee Bhi Moaljay Kay Liay Tariqa Ikhtayar Kiya Ja’ay Madafti Qovatoon Ko Sahara Daina Hi Ho Ga. Madafti Qovatoon Ko Sambhala Dainay Kay Liay Mati Kay Ajza-E-Tarkibi Ki Janch Karna Pary Gi. Androni Nazam Main Kisi Bhi Vaja Say In Ajza-E-Tarkibi Main Say Kisi Eak Ki Kami Waqay Ho Sakti Hai Ya Os Main Azafa Ho Sakta Hai. Is Kami Ziyadti Ko Pora Kiya Ja’ay. Ajza Main Kami Baishi Ka Andaza Moalaj Yahaan Tak Kah Ghar Walay Ba’khobi Laga Saktay Hain. Wo Is Tara
1- Mareez Kay Roz Mara Mamolaat Main Tabdili Mehsous Karkay
2- Mareez Kay Badaltay Atwar Say
3- Mareez Ki Badalti Khahshaat Say
4- Mareez Kay Badaltay Sabha Aur Mazaj Say
5- Mareez Ki Badalti Pasand Na’pasand Say
6- Mareez Ki Pehlay Aur Mojoda Ki Bool Chaal Kay Andaz Say
7-Aza Main Mehsous Hoti Tabdilioon Kay Hawala Say 8- Kahein Dard Rehnay Say
9- Bukhar Ki Halat Say
10- Susti Waqay Honay Say
11- Dilchaspioon Ki Tabdili Say
12- Omoman Koee Taklif Rehnay Say
Gharz Aaghaz Hi Say Aisi Bohat Sari Chizoon Say Andaza Lagaya Ja Sakta Hai Aur Ossi Hawala Say Moalja Sood’mand Sabat Ho Sakta Hai. Maslan
A- Amareez Main Khurdni Namak Ki Khaesh Bhar
Ya Kam Ho Sakti Hai.
Gosht Khori Ki Khaesh Main Kami Baishi Aa Sakti Hai. Ziyada Pani Paina Shoru Kar Daita Ha Ya Pehlay Ki Nisbat Pani Kam Pita Hai.
Kisi Khas Sabzi Ki Taraf Raghbat Bhar Sakti Hai.
Kisi Sabzi Say Nafrat Ho Sakti Hai.
Khnay Main Naqs Nikalna Shoru Kar Daita Hai Bartanoon Ki Tabdili Ki Khaesh Karnay Lagta Hai Khnay Kay Hawala Say Bohat Tara Ki Tabdilioon Ko Mehsous Kiya Ja Sakta Hai
B- Kisi Mukhsous Shakas Say Pehlay Ka Sa Rovaeya Nahain Rehta.
Mazaj Main Chirchara’pun Aa Sakta Hai.
Baat Baat Par Jhagra Khara Kar Daita Hai
Batain Bholnay Lagtqa Hai
Baat Ko Olta Laita Hai
Itmad Main Kami Aa Sakti Hai
Kisi Par Itmad Nahain Karta
Auroon Say Ziyada Omidain Wabasta Kar Laita Hai Oltay Saidhay Khaab Daikhnay Lagta Hai
Hawaee Qalay Tameer Karna Shoru Kar Daita Hai Khoof Aur Haras Main Rehnay Lagta Hai Yah Kisi Khas Baat Say Darta Hai Aur Os Say Doori Ikhtayar Karta Hai
Mazaji Atwaar Ki Bohat Sari Tabdilioon Ko Note Kiya Ja Sakta Hai Aur Is Khoraki Aur Mazaji Tabdilioon Kay Hawala Say Khorak Say Motalaq Kisi Juz Main Kami Ya Azafay Ka Andaza Karna Koee Dushwar Kaam Nahain. Is Kami Baishi Ko Ajza Say Hi Pora Kya Jana Mumkin Hai.
Eak Shakas Main Namak Ki Kaesh Bhar Gaee Os Ki Is Khaesh Ko Din Main Teen Baar Nat Mur (6) Say Pura Kar Diya Giya Jis Say Woh Aati Bimari Say Bach Gya. Her Shakas Apnay Khamir Ki Mati Kay Motabaq Khoraqi Ajza Laita Hai Is Liay Os Say Motalaq Aaghi Hasal Karna Koee Mushkal Kaam Nahain. Jab Hum Os Ko Ibtada Main Mehsous Nahain Kartay Aur Os Kay Badaltay Atwar Par Nazar Nahain Kartay To Woh Aatay Kal Ko Kisi Khoof’nak Bimari Main Mobtala Ho Jata Hai. Ibtada Main Hi Tovajo Day Di Ja’ay To Yah Achi Aur Sehat Mand Baat Hai Dairi Ki Surat Main Koee Pachidgi Paida Ho Sakti Hai Ta’hum Yah Nahain Kaha Ja Sakta Kah Ab Moot Hi Os Ka Moqadar Bun Chuki Hai Aur Ossay Halaat Kay Reham-O-Karm Par Choor Diya Ja’ay. Chara Bahar’toor Aakhri Sansoon Tak Puri Shidat Aur Dilchaspi Say Hotay Rehna Chahiay.

Motwazan Ghaza Ka Masla

Baigun Arbi/Aalo Ho Ya Shagum, Kado Ho Ya Ghiya Tori, Karailay Hoon Ya Bhindi Tori Ho Ya Goasht Mufrad Ya Marakab, Ghobi Aalo Ho Ya Faraee Tainday, Sab Apni Zaat Main Apnay Tamam'tar Ajza Kay Sath Mokamal Aur Motwazan Ghaza Hain. In Main Say Her Koee Ghee, Tamatar/Dahi, Adkar (Adrak), Thoom Piyaz Waghera Say Marakab Ho Kar Aur Aatesh Milnay Kay Baad Pakwan Kay Darja Par Faez Ho Kar Matwazan Ghaza Ka Darja Hasal Kartay Hain. Her Pakwan Eak Waqt Hi Khaya Jata Hai. Dosray Waqt Koee Aur Cheez Li Jati Hai.
Bawar Rehna Chahiay Salan Kay Sath Chapati Bhi Lazma Rehti Hai. Lowazmay Main Salad Bhi Dastar Khan Ka Hissa Banta Hai.
Dusray Waqt Ki Khorak Kay Darmiyan Main Hum Kuch Na Kuch Zaroor Khatay Rehtay Hain. Goya Hamaray Jism Ko Kisi Na'kisi Hawala Say 22 Ouns Khorak Din Main Mil Hi Jati Hai.
Issi Tara Mithay Main Kheer Ho Kah Kastad, Gajar Ka Halwa Ho Ya Sohan Halwa Matloba Zarorat Ko Pora Kartay Rehtay Hain.
Jo Cheez Hum Pasand Nahain Kartay Aur Ossay Khorak Nahain Banatay Os Ka Motbadal Hamari Khaesh Farahum Kar Daiti Hai.
Khorak Ko Motwazan Karnay Ki Fikar Main Hum Gher Zarori Chizain Kha Jatay Hain Jo Faeday Ki Baja Ay Noqsan Ka Sabab Banti Hain. Khorak Ko Aam Sada Aur Gharailo Sa Rakheay. Takalfaat Say Doori Hamain Bimari Say Door Rakhti Hai.

Yaad Rakhnay Ki Batain

1-Hum Main Say Bohat Say Log Oncha Sarhana Rakh Kar Sony Kay Adi Hotay Hain. Yah Andaz Darust Nahain. Is Say Khoon Ki Gardish Gher Motwazan Ho Jati Hai Jis Kay Baes Koee Bhi Bimari Zindgi Ka Rasta Rook Kar Kharabi Ka Sabab Bun Sakti Hai Aur Hum Jaan Bhi Nahain Patay Kab Kya Aur Kayoon Ho Giya Hai.
2-Shadi Biya Ya Cehlam Ya Phir Itafaq Say Aap Kay Ghar Ka Dastar Khan Ho, Khana Chaba Chaba Kar Aur Bhook Rakh Kar Khaeay. Mana Auroon Kay Haan Ka Khana Aap Ki Jaieb Ka Nahain Laikin Papi Pait To Aap Ka Apna Hai. Issay Dukhi Na Kijiay Issay Khush Rakheay Yah Aap Ko Kush Rakhay Ga. Yah Bhi Yaad Rakheay Auroon Ko Dukh Dainay Walay Sukhi Nahain Reh Saktay Kayoon’kah Yahhi Asool-E-Fitrat Hai.
3-Eak Dish Say Aap Kay Dastar’khani Ke Waqar Ko Noqsan
Nahain Ponchay Ga.
4-Allah Sahib Kay Bandoon Ko Kacha Mat Khaeay. Rizq E Ram Aur Paraee Jaeeb Ki Khush'khuri Noqsan'deh Hai. Haan Kachi Sabziaan Kha Liya Karain. Pehaly Say Noqsan Jabkah Dosray Say Aap Ko Faeda Ponchay Ga.
5-Jan Bananay Kay Shooq Main Taqat Kay Tikay Ya Angraizi Adviyaat Na Khaeay. Yah Aap Kay Liay Qatee Acha Nahain. Is Say Bhala Yah Hai Kah Eak Khob’surat Si Gajar Ya Eak Saieb Nosh-E-Jan Farma Lain. Yah Aap Kay Liay Qatee Acha Hi Acha Hai. 1 Mamoli Sar Dard Howa Painado Ya Koee Aur Pain Kilar Goli Le Li. App Ko Moalaj Se Rabta Karna Chahiay
6- Khali Pait Pani Palaein. Khali Pait Pani Her Kisi Ko Pina Chahiay.
Din Main Aath Das Galas Pani Zaroor Pi Lain.
7- Kaddo Baray Pa'ay Ki Sabzi Hai, Is Ka Istamal Karain. Pakwan Main Chahay Eak Hi Kaddo Ki Kash Zaroor Shamil Kar Dain. Zaeqay Ke Liay Surakh Mirchoon Par Zaroor Na Rakhain, Haan Albata Sabz Mirch Dalnay Main Koee Harj Nahain.
Gajar Aur Shaljam Bazahir Mamoli Sabziyaan Hain Laikan Afadiat Main Apna Jawab Nahain Rakhtein. Bazahir Mamoli Sabzioon Ko Nazar'andaz Na Karain.
8- Adrak, Lehsan Piyaz Aur Haldi Ka Zaroor Istamal Karain.
9- - Mosmi Phal Chahay Thora Hi Mareez Ko Zaroor Khalein.
10- Anar, Saiab, Kaila, Japani Phal, Baiar Donoon Tara Ke
Waghera Istamal Main Zaroor Laein.
11. Phaloon Aur Sabzioon Ke Chilkoon Ko Zaya Na Karain Yah Bhot Qimati Hotay Hain. In Ka Istamal Bara Faeday'mand Hota Hai. Obal Lain Aur Pani Main 2 Se 3 Chamchay Wo Obla Howa Pani Mala Dain.
12- Din Main Eak Do Baar Piyaz Ke Chaloon Ki Cha'ay Pinay Ko Dain.
13- A. Gharoon Main Kailay To Aatay Hain, In Ke Chalkay Zaya
Na Karain.
B. Saaf Aur Dho Kar Saya Main Khushak Kar Lain.
C- Is Marz Main Mota'alaqi Jaga To Apni Jaga Sar Gardan Aur
Donoon Kandhoon Ke Darmiyan Qiyamat'kaiz Dard Hota Hai.
Dard Ki Shidat Main Kailay Ke Chalkay Ko Obaal Kar Thora
Sa Namak Daal Kar Eak Cup Pinay Ko Dain. Yah Obla Howa
Pani Tenshan Ko Bhi Door Karta Hai.
14- Neem Ke Darakht Ke Saya Main Mareez Ko Kam Az Kam
40 Mint Bathein Ya Lataein.
15- Raat Ko Naeind Na Aanay Ki Surat Main Mareez Ke Sarhanay
Lehsan Ki Eak Pothi Toord Kar Rakh Dain.
16. Gham Dukh Prishani Ki Khabar Os Ke Kanoon Tak Na
Ponchnay Dain. Ossay Sab Acha Ki Khabarhi Sonaein.
17- Anaar Ya Kailay Ke Chalkoon Ki Paist Bana Lain Aur Is Se Dant
Saaf Karain.
18- Mobael Foon Opar Wali Jaieb Main Na Dalain.
19 Raat Ko Sotay Waqt Mobael Foon Sarhanay Mat Rakhain.
20 Kalay Chanay Bhoon Kar, Obaal Kar Handi Main Paka Kar Kisi Tara Bhi Khalaein.
21 Aanar Ke Chilkoon Ko Obaal Lain Os Main Limoon Nichoor Ka Palaya Ja Sakata.
22. Shehad Main Lehsan Chhel Kar Daal Dain. Rozana Nihaar Monh Eak Poti
Lehsan Khila Dain.
23. Limu Ke Chilkay Zaya Na Karain Khushak Karkay Rakh Lain Bas Eak Chutki
Cha'ay Main Daal Dain Ya Pakwaan Main Daal Dain.
24 Yaad Se Nakhun Tarash Dain.
25 Cigrairt Par Rook Ki Koshesh Karin Aur Os Ke Tambaku Main Piyazaz Ke
Chilkoon Ka Pani Mila Dain Aur Filtar Faraham Karain.
Zarori Note:
In Chizoon Batoon Ka Istamal Aap Aur Mareez Ke Liay Mofeed Hai. Her Cheezbadal Badal Kar Dain. Jo Cheez Mareez Ko Pasand Aa'ay Ossay Eak Adh Baar Dain Ta'kah Khaesh Main Azafa Ho. Os Ki Khaesh Par Baar Baar Dain Ge To Mareez Oktahat Ka Shakar Ho Ja'ay Ga.
 

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

فانی مقصو حسنی
About the Author: فانی مقصو حسنی Read More Articles by فانی مقصو حسنی: 184 Articles with 192544 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.