12 Rabi-Ul-Noor Mein Khushi Manana Quran Or Hadees Ki Roshni Mein

(Syed Bakhtyar, Karachi)

(1) Ae Mehboob Aap Farma De,Allah Ta'ala Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rahmat Aur Usi Par Chaheye Ke Khushi Kare, Wo Un Ke Sab Dhan Daulat Se Behtar Hai.
(Sureh Yunus,Para-11,Ayat-58)
.
* Is Ayat-e-Karima Mein Wazah Taur Par Hukum Hai K, Allah Ta'ala Ke Fazal Or Uski Rahmat Par Khushiyun Ka Izhaar Karna Chaheye, Aur Quran Pak Se Sabit Hai, Ke Nabi-e-Paak Ki Zaat-e-Gerami Iman Walo Par Allah Ta'ala Ka Sab Se Bada Fazal Aur Sabse Badi Rahmat Hai. Mufasirin-e-Keram Ne Is Ayat Mein Fazal Aur Rahmat Se Nabi-e-Paak Ki Zaat
Mubarak Ko Muraad Liya Hai.
(Tafsir Ruhul Ma'ani,Tafsir Dure Mansoor)
.
* Ab Sab Se Bade Fazal-e-Khuda Aur Rahmat-e-Khuda Par, Khushiyun Ka Izhar Karna Shirk Or Bida'at Aur Najaiz Kaise Ho Jaye Ga?

Bakhtyar
About the Author: Bakhtyar Read More Articles by Bakhtyar: 3 Articles with 9530 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.