Huqumuraan

(Noorin Shafa, islamabad)

Aj Kal Mary Zahan Mai Ya Khayal Bar Bar Arha Hai Ka Mai Urdu Lugat Khool Kr Ak Nazar Siyasat Kai Haqeeqi Maanuon Par Daalu.Que Kai Jo Matlab Hamary Mulki Siyasat Ko Dakh Kar Aor Ird Gird Nigah Dalny Sai Samajh Mai Ata Hai Wo Kisi Musbat Lafz Kai Maanoun Mai Shumar Tu Nhi Kya Jasakta.Aj Kal Hamary Huqumuranon Nai Siyasat Ko Billi,Chuhy Ka Khail Banadiya Hai.Yai Phr Ak Cricket Match Kai Kisi Bhe Tarha Sai Mukhalif Team Ko Out Krna Hai Aor Har Mumkin Koshsh Krni Hai Kai Apny Hath Mai Huqumat Aor Mulki Ikhtiyarat Ka Bat Thaamy Mukhalif Team Ki Taraf Sai Aaty Huay Siyasi Sazishon Kai Ballo Pai Choky Dai Mary Jo Un Ki Jalti Pai Mazeed Taail Ka Kaam Kry.Aj Kal Huqumuran Isi Asool Pai Amal Krhn Hn Kai Beta,Agr Kursi Hamy Nhi Mili Tu Tmhy Bhe 5 Saal Sakun Sai Haqumat Krny Nhi Dangy.Jub Mai Ny Apny Intihae Masruf Siyasatdanon Kai Af,Aal Par Kuch Dair Goor Kya Tu Yai Nateejy Samny Ayan Kai Hamary Siyasatdaan Tu Waqae Mai Kafi Masruf Hn.Belkhasus Wo Siyasatdaan Jo Election Mai Haary Hn ,Un Sai Bhe Ziyada Masruf Hn Jo Election Jeet Kr Apni Taweel Arsy Ki Jadojehed Ka Phal Paa Chuky Hn.Que Kai Unhon Nai Apny Jeety Huey Hareefon Ko 5 Saal Chain Sai Kursi Pai Hakumat Thodi Krny Daini Hai.Naye Naye Mansuby Banany Hn Kai Kis Tarha Huqumat Pai Dabao Daaly.Kya Kya Krny Sai Awaam Kai Andar Haqumat Kai Lya Baiyaqeeni Aor Adam Aaitimaat Paida Ho.Aor Dosri Taraaf Hamary Jeety Huay Siyasatdanon Ko Election Jeetny Kai Baad Dakh Kar Asa Lagta Hai Kai Un Ki Zindagi Ka Pahla Aor Akhri Maqsaf Kisi Na Kisi Tarha Sirf Kursi Tak Pohonchna Tha . Ab Kursi Tak Phnchny Ka Baad Agy Ki Mansuba,Bandi Shayad Zaruri Na Samjhi Ho Ya Phr Baad Kai Lya Chod Diho Kai Kis Tarha Mulk Ko Sambhalna Hai,Aor Kis Tarha Curruption,Mahangae,Badanwani Kai Samandar Mai Phansi Mulk Ki Ladakti Hue Kashti Ko Kinary Tak Phnchana Hai ,Is Bary Mai Soch Kar Shayad Apny Aap Ko Phalhal Zahni Dabao Ka Shikaar Nhi Krna Chahty Ho.Chahy Siyasatdaan Hamary Mulk Kai Ho Yai Phr Dosry Mumalik Kai Apny Hareefon Kai Lya Nazeeba Alfaaz Ka Istimaal,Ilzaam Tarashi,Galam Galooch Har Siyasatdaan Kai Siyasat Ka Aham Asul Banchuka Hai Yai Phr Yai Kaha Jaye Kai Siyasat Ka Matlab Hi Yai Ban Chuka Hai.Shayad Pahly Kisi Zamany Mai Siyasat Kai Maidan Mai Qadam Jamany Ka Lya Taleemi Qabiliat Ka Hona Zaruri Samjha Jata Hoga Lakin Aj Kal Ki Siyasat Ko Daikh Kar Yai Andaza Lagaya Jasakta Hai Kai Bandy Ko Ziyada Sai Ziyada Mou Phat Aor Hazir Dimagi Ka Sath Mukhalifeen Kay Eent Ka Jawab Pathar Sai Daina Janta Ho.Ab Tu Allah Hi Hamary Mulk Ki Hifazat Kry Lakin Kin Sai.Maana Kai Hamara Mulk Anduruni Aor Bairuni Dono Qisim Kai Dushmanon Kai Sazishon Ka Shikar Hai Lakin Mary Nazdeek Hamary Mulk Ka Lya Sub Sai Ziyada Nuqsaan Ka Bayis Yahi Hukumuran Aor In Kai Naye Hakumati Aasul Hai Lihaza Puri Dua Yahi Krungi Kai Allah Hamry Mulk Ko Andoruni ,Bairuni Aor Belkhusus Hamary Hukhumuranon Kai Shar Sai Hamary Mulk Ki Hifazat Kry.AMEEN.Ab Hamary Mulk Mai Kaafi Arsy Sai Mujhud Is Asool Kai Mutabiq Awaam Ka Zikar Bhe Akhir Mai Hi Karungi Jis Asool Kai Mutabiq Awaam Sub Sai Akhri Category Mai Shaamil Hoty Hain.Hamary Mulk Mai Huqumurano Ko Awal Tu Awaam Ki Yaad Belkul Nhi Aati Aor Aye Bhe Tu Bhe Asool Kai Mutabiq Akhir Mai Ya Saada Alfaaz Mai Yai Kai Election Kai Akhri Saalon Mai.Ab Tu Awaam Ka Kaam Hi Yahi Rehgeya Hai Kai Wo Apni Wahid Aor Sub Sai Kaaramad Ikhtiyar Yaani Vote Ka Istimaal Karky Siyasatdanon Ko Un Kai Manzil E Maqsud Tak Pohonchady.Ab Is Kai Baad Huqumuranon Ko Awaam Ki Zarurat Khatam.

Noorin Shafa
About the Author: Noorin Shafa Read More Articles by Noorin Shafa: 20 Articles with 17331 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.