Bura Waqt: Azmaesh Ya Saza

(Farzana, Lahore)

Jab Bhi Ham Par Kabhi Bura Waqt Aata Hy.Ye Kesy Pata Chaly Ky Ye Azmaesh Hy Ya Saza. Hum Hamesha Bury Waqt Ko ALLAH Ki Taraf Sy De Gi Azmaesh Hi Kiun Samjhty Heen Halanky Aksar Hameen Pata Chal Jata Hy Ky Ye Hamary Kiyue Ki Saza Hy Pher Bhi Ham Is Baat Ko Tasleem Nhi Karty.Kiun? Ham Apny Hi Aamal Sy Nazar Kiun Churaty Heen Aesa Nhi Hy Ky Koi Bhi Insan Koi Bhi Ghalat Kaam Kary Or Upar Wale Ki Saza Sy Bach Jye. Ham Sab Janjty Hoy Bhi Anjan Kiun Ban Jaty Heen Ye Kesy Pata Kiya Jaye Ky Ham Par Aaya Bura Waqt Saza Hy Ya Azmaesh? Ap Kiya Kehty Heen Kiya Sochty Heen Is Bary Meen .Meen Nhi Janti .Har Bury Waqt Ko Kisi Na Kisi Par Dal Dety Heen Ya Pher ALLAH Sy Shikwa Karty Heen Kiun? Apna Ihtasab Khud Kiun Nhi Karty

Ap Sab Meri Baat Sy Itafak Kareen Ya Nhi Lekin Mujhy Theek Lagti Hy. Meny Parah Hy Ky Bura Waqt Saza Hy Ya Azmaesh? Ye Is Tarha Pata Chalta Hy Jab Ap Bury Waqt Meen ALLAH Ky Nazdeek Ho Jao Tu Wo Ap Ki Azmaesh Hy Kiun ALLAH Ap Ko Us Azmaeesh Meen Pura Utarny Ki Himat Deta Hy Or Jab App Bury Waqt Meen ALLAH Sy Dur Ho Jao Tu Wo App Ki Saza Hy. Or Saza Ky Tor Par Apny Ap Sy Dur Kar Deta Hy Ab Ap Socheen Kiya Karna Hy?

Farzana
About the Author: Farzana Read More Articles by Farzana: 2 Articles with 3412 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.