Mushkil Rastay episode4

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Assalam-O-Alaikum Zakira .....Wo Muskuratay Huay Meri Janab Qadam Barhatay Huay Boli...
Aa Aap...May Itna Hi Bol Payee Thi.. Kiya Andar Anay Ko Nahin Kahogi.....Zaroor Aa Aa Yai.....
May Kuch Sherminda Si Hoti Hui Main Door Say Hut Ker Ussay Andar Anay Ka Rasta Diya....
Wo Muskurati Hui Shahana Andaaz Say Chulti Huyee Andar Agayee Us Kay Peechay Daniyaal Bhi
Tafakuraath May Doobay Huay Ghar Kay Andar Daqil Hogai.........Drawing Room May Wo Aik Sofay
Per Jub Baith Gaye To Hum Us Kay Samnay Walay Sofay Per Baith Gai.....Hairath Ki Baath Yai Thi
Meray Liyai Us Waqth Kay Wo Pehli Baar Meray Ghar Ayee Thi Lakin Jis Terha Wo Ghar May Daqil
Huyee Us Say Aisa Luga Mujhay Kay Wo Is Ghar May Kayee Baar Achuki Hay....Jaisay Kuch Bhi Us Kay Liyai Naya Na Ho.....Is Terha Bin Bulai Mehman Ki Terha Anay Per Maafi Chati Hun May Aap Dono Say....Or Zakira Bayfikar Raho May Yahan Ayesha Ko Lainay Nahin Ayee Hun Bulkay ....May Nay Apni Beti Tumhay Hamesha Kay Liyai Sonp Di Hay ..May Sirf Ussay Aik Nazar Daikhna Chati Hun....Zaroor Aap Us Say Mil Lain..Lakin Aap Ko Kaisay Pata Chala Kay Hum Nay Us Ka Naam Ayesha Rakha Hay.....Daniyal Jo U Ki Baath Sun Ker Relaxed Hogai Thay Poocha To Wo Muskura Ker Daniyal Ki Taraf Daikhnay Lagi.....May Ayesha Say Kabhi Ghafil Nahin Rahi Daniyal Sahab....May Yai Bhi Janti Hun Kay Aap Dono Ussay Apni Beti Say Ziyada Cha Tay Hain...Mera Inteqaab Ghalath Nahin Tha Apni Beti Kay Liyai Alhumdulillah Aik Achay Khandaan May Perwarish Pa Rahi Hay....Or Mujhay Kiya Cha Yai Lakin Kiya May Ussay Daikh Sakti Hun Abhi.....Wo Abhi So Rahi Hay May Ussay Utha Ti Hun....Nahin Zakira Ussay Uthana Nahin May Us Ka Samna Is Terha Nahin Kerna Chati Ussay Sonay Do...May Ussay Aqri Baar Nazar Bhar Ker Daikhna Chati Hun ..Ji Zaroor Aiyai...May Ussay Tum Logon Kaykamray May Lay Ayee....Tum Apnay Bed Per Soti Huyee Aik Masoom Farishta Lug Rahin Thin Wo Ahista Chulti Huyee Tumharay Bed Kay Nazdeek Agayee....Or Bohoth Ahista Say Baith Gayee...Or Tumharay Kalay Chamakdaar Balon May Apni Muqrooti Ungliyan Phairnay Lagi...Or Phir Tumhari Paishani Per Bosa Day Ker Uth Khari Huyee ...Wo Shidat-E- Jazbath Ki Wajha Say Kaanp Rahi Thi.....Aik Baath Poonchoon Aap Say ...Wo Meri Janib Pulti Magar Boli Kuch Nahin....Aap Nay Ayesha Ko Meray Hawalay Kiyun Kiya Tha......Aisi Kiya Mujboori Thi Aap Ko.....Koyee Ma Apni Aulad Ko Isterha Doosron Kay Hawalay Nahin Kerti Zakira....Lakin Mujhay Halath Is Dagar Per Lay Ai Thay Kay Mujhay Yai Tuluq Faisla Kerna Para........Her Din Hamaray Liyai Aik Qiyamath Ka Din Hota Hay.... .Lakin Tum Nahin Sumjho Gi...Wo Yai Kehti Huyee Meray Nihayath Nazdeek Agayee...Or Sergoshi May Boli....Tum Wo Chocolates Or Khilonay Jo Hum Bachiyon Kay Sirhanay Roz Rakh Jatay Hain Unhain Kiyun Nahin Daitin...Unhay Day Diya Karo Zakira....May Hairath Say Ussay Daikhay Gayee To Wo Muskura Di...Aap Wo Aa Aap Lati Thin Lakin Aap Andar Kaisay Atin Thin....Meri Is Baath Per Wo Purisrar Muskurahat Kay Saath Mujhay Daikhnay Lagi....Theek Hay Ainda Nahin Laingay Kuch Bhi....Lakin Aik Wada Karo Tum Wo Saari Chocolates Or Khilonay Unhay Do Gi Jo Hum Bachiyon Kay Liyai Laiker Ai Thay...Magar May To Wo Sub Phik Wa Chuki Hun....Mujh Per Ab Khof Tari Honay Laga Tha........Nahin Wo Sub Ayesha Ki Almari May Rakhay Hain Cha Ho To Daikh Lay Na....Or Zakira Hum Say Daro Nahin Hum Tumharay Liyai Kabhi Nuqsaan Dah Sabith Nahin Hosaktay...Or Hum Koyee Bhooth Pareeth Bhi Nahin Hain....Bus Halath Kay Maray Huay Apno Ki Kerni Ka Phul Bhugath Rahay Hain....Mujbooriyan Kuch Aisi Hain Kay Hum Tumhay Bata Nahin Saktay...Magar Aik Baath Yaad Rakhna Jin Halath Say Hum Guzar Rahay Hain Ayesha Ko Bhi Unhi Halath Ka Samna Kerna Paraiga....Cha Hay Tum Or Hum Laakh Koshish Karain Lakin Wo Pehchan Li Jay Gi Kay Wo Kiya Hay...

Is Liyai Humchatay Hain Kay Tum Ussay Bata Daina Jub Wo Bari Hojai To...Takay Wo Unhalath Ka Muqabla Ker Sakay.......Or Bay Qabri May Nuqsaan Na Utha Lay....Tumharay Khandaan Ki Hum Saari Zndagi Hifazath Kertay Rahingay Jub Tuk Zindagi Hay Humari Inshallah...Jis Terha Tumhay Ayesha Saniya Say Ziyada Azeez Hay Ussi Terha Sanya Hummay Azeez Hay......Lakin Waqth Bohoth Zalim Hay Zakira Isliyai Hum Phir Ilteja Kertay Hain Tum Say Kay Tum Waqth Anay Per Ussay Bata Daina...Kahin Dushman Us Ki Bayqabri Ka Faida Na Utha Lain....May Us Aurath Ki Purisraar Batain Sun Ker Chakra Gayee Thi.....Phir Wo Mera Haath Apnay Dono Hathon May Laiker Mujhay Daikhnay Lagi.....Hum Tumhay Ab Kabhi Nazar Nahin Aingay Zakira Yai Hummara Tum Say Wada Hay...Lakin Agahi Ayesha Kay Liyai Zaroori Hay...Us Ki Baqa Issi May Hay Kay Wo Jaan Lay Kay Wo Kaun Hay.......May Bhi Aap Say Wada Kerti Hun Ayesha Ko Jub Wo Bari Hojaigi To Aap Kay Baray May Bata Doongi....Wo Aurath Tum Ko Mustuqbil May Paish Anay Walay Jin Halath Say Mujhay Qaberdaar Ker Rahi Thi Na Chatay Huay Bhi May Us Per Yaqeen Kernay Per Mujboor Hogayee Thi...Acha Ab Hummain Ijazath Do Allah Ayesha Or Tum Sub Ki Hifazath Karay Ameen...Yai Kehtay Huay Wo Kamray Say Nikal Gayee...May Bhi Us Kay Peechay Kamray Say Nikal Ayee....Phir Wo Ruki Nahin Drawing Room Janay Ki Bajai Wo Bahir Janay Lagi....Daniayl Lounge May Baithay Huay Thay Hum Dono Ussay Gate Tuk Chornay Gai.....Jub Wo Gate Say Nikalnay Lagi Tub.....Aap Nay Apna Naam Nahin Bataya....Fatima Naam Hay Hummara.....Wo Gate Say Bahir Qadam Rakh Chuki Thi Gardan Mor Ker Meri Or Daniyal Ki Taraf Daikhtay Huaiy Keh Ker Taizi Say Bahir Nikal Gayee...Us Kay Janay Kay Baad Beti May Nay Tumhari Almari Khol Ker Daikhi To Us May Wo Sari Chocolates Or Khilonay Rakhay Huay Thay....Halankay Is Say Pehlay Kayee Dafa Bulkay Her Roz Hi Almari Khol Bund Hoti Thi Us Waqth Kuch Bhi Nahin Tha Or Ab Yai Chocolates Or Khilonay........Khair Daniyal Ko May Nay Sari Batain Bata Din Jo Us Kay Or Meray Dermiyaan Huyeen Thin....Wo Paraishan Hogai.....Ayesha Ko Kuch Nahin Hoga Zakira Allah Per Bharosa Rakho....Haan Aap Theek Kehta Hain Lakin May Us Say Wada Ker Chuki Hun Kay Ayesha Kay Baray Hotay Hi Ussay Us Kay Baray May Bata Doongi.....Theek Hay Lakin May Yahi Dua Karoonga Kay Wo Din Anay Say Pehlay Allah Mujhay Utha Lay......Aisi Batain Kiyun Ker Rahain Hain Aap Allah Aap Ko Lumbi Umar Day .....May Un Ki Baath Sun Ker Hol Gayee Thi.....Wo Meri Baath Per Khamoosh Qila May Na Janay Kiya Talash Kernay Lagay Thay Us Waqth......May Nay Wada To Ker Liya Tha Fatima Say Lakin Khud Say Ahad Kiya Tha Kay Apni Zindagi May Tumhay Yai Qabar Na Lugnay Doongi Kay May Tumhari Maa Nahin Hun..Ayesha Jaanti Ho Yai Likhtay Huay Mujhay Kitni Takleef Horahi Hay.....Kay May Tumhari Sagi Maa Nahin Lakin May Razaayee Maa To Hun Na Ah..Meri Jaan Aik Maa Kay Liyai Yai Bohoth Takleef Da Hota Hay...Jub Tum Maa Bunogi Tub Tumhay Pata Chalay Ga Khair Fatima Nay Jo Kaha Waisay Hi Hua ...Ajeeb Purisraar Waqiyath Yuk Dum Bund Hogai......May Nay Us Ki Layee Huyee Tamam Chocolates Or Khilonay Tum Dono May Bant Din.....Wo Aurath Purisraar Si Thi ...Lakin Tum May Hum Nay Kissi Qissam Ki Mafooqul Harkaath Nahin Daikhin Tum Aam Bachon Ki Terha Hi Thin.....Haan Albata Bay Inteha Zaheen Bachi Thin Or Ho Ab Tuk Mashallah Say.....Daniyal Ki Achanak Heart Attack Say Moth Or Phir Khaloo Jan Or Khala Amma Ki Rehlath Nay Mujhay Tore Dala Tha....Lakin Tum Dono Kayliyai May Nay Apnay Andar Himmath Paida Ki....Or Phir Idath Kay Baad Daniyal Ka Business Sunmbhal Liya.......May Nay Yai Dairi Daniyal Ki Wafath Kay Baad Likhni Shuroo Ki Thi.....Or May Yai Sub Kuch Tumharay Liyai Likh Rahi Hun Jaan ....Meri Choti Si Apsara Kay Liyai...Jaanti Ho Mujhay Tumsay Kitni Mohobath Hay ....Is Waqth May Ro Rahi Hun...Ansoo Ruknay Ka Naam Nahin Lay Rahay....Is Waqth Yai Jumlay Yai Alfaaz Likhtay Huay May Sirf Tumhay Sonch Rahi Hun....Kay Tum Kaisa Mehsoos Ker Rahi Hogi Issay Parhtay Huay......May Tumhari Takleef Ko Mehsoos Ker Rahi Hun Meri Jaan....Beti Yai Jaanker Kay May Tumhari Maa Nahin Tumhay Takleef Hogi Lakin Kabhi Yai Bud Gumani Dil May Muth Anay Daina Kay Tum Hummari Beti Nahin....May Nay Tumhay Janam Nahin Diya Lakin Tum Meray Wajood Ka Hissa Ho.....Hosakay To Apni Is Maa Ko Maaf Kerdaina Kay Tum Say Itni Bari Haqeeqath Chupai Rakhi.........Or Aik Wada Karo Mujh Say Kay Saniya Ko Is Kay Baray May Kuch Batao Gi Nahin...Phir Likh Rahi Hun Beta Kay Hosakay To Mujhay Or Apnay Baba Jaani Ko Maaf Kerdaina......

Tumhari Amma Bi
 

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 214954 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More