Ye Zindagi Kia Hai???

(Shakila Perveen, )

Kich Likhne Ki Justujo Me Jo Khud Par Beti Wo Likh Dala Aj Tabiyat Kch Bojhal Bojhal Si Hai Shab Bhr Ki Jagi Ankhen Kch Dastan Barpa Kar Rai Hain Dil Ka Alam Dil Hi Janta Hai Ye Dill B Kia Chez Hai Pal Bhar Mein Khush Hojata Hai Or Pal Bhar Me Baras Parta Hai Mazi Ki Chand Bojhal Haqiqaten Dill Ko Zakhmi Or Ghail Kar Deti Hain Yun Lagta Hai Kisi Ne Khanjar Se Uska Qatal Kar Dala Ho Par Kissy Bataen Or Kise Dhikhae Apno Zhkmo Ko Koi B Apna Nai Koi B Humraz Nai Har Kisi Ne Iss Dill Ke Sath Marasim B Is Had Tak Rakhe Jab Tak Dill Ne Khud Se Bhar Kar Chaha Or Bhar Kar Kia Par Ajj Badle Mein Kia Mila Wahi Udaasi Wahi Tanhai Wo Akela Pan Zindagi Tab Achi Lagti Thi Jab Jine Ki Wajha Hi Nai Maloom Thi Pr Jab Malom Hua To Jine Ka Dill Hi Nai Chahta Q Hota Larkion Ki Taqdeer Me Hi Sub Kch? Zindagi Ka Matlab Maqsad Koi B Na Samjh Paia Hai Or Na Hi Samjh Pae Ga?

Agr Zindagi Srf Haseen Hoti To To Gardisho Me Dobe Hue Sitaro Ka Kese Pata Chal Pata Zindgi Me Srf Piyar Or Dard Ka Rishata Hi Zindagi Ka Rog Nai Ban Jata Bl K Kch Apne Khoni Rishte B Rishto Ki Pamali Or Ruswai Ka Sabab Ban Jate Hain.Yun To Zindagi Me Bht Se Mor Ae Lekin Jab Apne Rishte Tote Hain To Na Dil Ko Chain Aata Hai Or Na Hi Rooh Ko Sukon Hasil Ho Pati Hai.Dill K Dareche Jab Khali Hoty Hain To Na Mann Ki Ankho Se Kch Suna Jata Hai Na Hi Saha Jata Hai Bachpan Me Bht Sare Khuab Sajate Hai Or Har Chez Ka Hasil Kar Pana Bht Asan Samjhte Hai Par Zindgai Ka Hasil Or Maqsad Kita Mushkil Hota Hai Ye Ajj Jana Tamam Rishto Ko Tor Kar Dunia Basane Ka Socha Par Kia Pata Hai Tha K Zindgi Ki Akhri Sanas Tak In Taamam Tar Taluqat Se Picha Chura Pana Kitna Nasoor Ban Jata Hai.Dasatan-E-Gham To Kia Hum To Apna Piyar B Kisi K Sath Zer-E-Behas Nai La Skte Drte Hain K Is Se Uski Rusawai Or Meri Badnami Na Ho Jae Ye Piyar B Kia Chez Hai Q Ho Jata Hai Wo B Un Se Jiska Milna Ek Unhoni Se Hone Wali Baat K Braber Ho Zindagi Me Q Aise Hi Log Milte Hai Or Un Hi Se Dill Gustakhi Kar Bethta Hai Jiski Hamari Hath Ki Lakero Me Koi Nishan Hi Moujood Nai Hoti Hai .

Dill Ki Soda Giri To Pal Bhr Me Hojati Hai Par Shab Bhr Ankhon Me Terte Khuab Ki Haqiqat Kch Or Hi Hoti Hai Dunia Ka Ye Dastoor Hai K Ansu Khushi K Hon Ya Gham K Chalkay Hue In Ansuon Ki Koi Pechan Nai Hoti.Zindagi Srf Qurbani Mangti Hai Ek K Bad Ek Qurbani Jise Chao Jo Chao Wo Milta Nai Or Jo Milta Hai Usko Chane Me Pori Umer Beet Jati Hai.Dar E Haqiqat Zindagi Ka Falsafa Buhat Taveel Hai Jisko Likhne K Lie Zindagi Buhat Hi Choti Or Waqat K Door Bht Tang Hai.Uljhanen To Buhat Hoti Hain Par Dil Se Juray Uljhano Ka Koi B Mol Nai Insane Us Waqat Dunia Ki Tamam Tar Uljhane Bhula Kar Apne Dill Ki Uljhano Me Is Trha Kho Jata Hai K Kisi Or Ki Khaber Ya Fikar Tak Nai Hoti Or Lafzon Ki Barsaten Baras Kar Chalak Kar In Kaghaz Be Bikhar Jati Hai Or Tab Zindagi K Kch Aise Pehlo Naqoosh Ho Jaty Hain Jo Hum Asani Se Bayan Nai Kar Sakty Ye Zindagi Ka Almia Hai K Hum Guzre Hue Lamho Ko Apni Zindag Me Usi Waqt Ane Dety Hai Jab Hum Khud Dunia K Or Apno K Saataey Hue Hoty Hain.

Zindagi Unn To Tavel Si Hai Lekin Jb Dil K Darerchy Pr Koi Waar Karta Hai To Zindagi Ki Sannsen Tang Hona Shuro Ho Jati Hain Or Or Lamhae Fikar Ajata Hai Or Zindagi Lafzo Ki Trha Simat Kar Ek Choti Si Zindagi Ban Jati Hai Ye Zindagi Bi Kia Zindagi Hai Dosto Jio To Shan Se Maro To Eman Se
Z=Zinda Rehne Wali Yaden
I=In Haqiqato Se Koun Waqif Ho Paia
N=Na Samjh Sakay Na Sudhar Saky
D=Dam-E-Aakhir Unn Hi Chale Gae
A=Akhir Hai Kia Ye Zindagi
G=Is Gard-E-Safar Me Gum Ho Kion
I=Isey Dhondh Lo Isy Jaan Lo Yahi Zindagi Hai Maan Lo

Shakila Perveen
About the Author: Shakila Perveen Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.