Hamara Nizam e Taleem In Urdu

(AFRASIAB ALI, faislabad)

Hamara Nizam E Taleem Youn To Qiyam E Pakistan Ke Foran Baad November 1947 Mein Hukumat Pakistan (Govt Of Pakistan) Ne Pehli Conference (First Confrence ) Ka Ineqad Keya. Magar Us Waqt Itni Nafsa Nafsi Ka Alam Tha Ke Iss Conference Se Koi Thos Nataej Nikalney Mumkin Hi Nahien Tha. Phir Bhi Taleemi Ke Leye Aik Moshaverti Board Aur Technical Taleem ( Tecnical Education Council ) Ke Leyeh Aik Council Tashkeel Di Gae. Iss Conference Ki Karwae Per Aik Gahri Nazar Dane Se Maloom Hota Hai Ke Ibteda Hi Se Nazaryati Sawalat Ne Pakistan Mein Taleem Ko Ghair Leya Tha Aur Iss Sawal Per Ghour Keya Janey Laga Ke Pakistan Mein Taleem Ki Nazaryati Asas Keya Hogi? Nateeja Yeh Nikla Geya Ke Soobayat Ke Bajaye Islami Aur Qaumi Nazare Ki Terweej Ki Jaye

Nazaryati Taleem

Bazahir To Yeh Bat Bari Achchi Maloom Hoti Hai. Magar Pas E Perdah Subon Ke Inferadi Tashkhas Ko Kuchalney Ki Jo Koshishein Ki Gaien Iss Ke Nateja Hum Aaj Tak Bhugat Rahe Haein Aur Shayed Humari Anye Wali Kai Naslain Bhugtein Ge. Nazaryati Asas Ki Arrd Mein Pakistan Mein Banney Wali Mokhtalif Qomiyaton Aur Un Ki Zaban Maqami Tareekh Maqami Shakhsiyat Aur Unki Jamhoori Tawaqoat Sub Ko Mar Peet Ker Aik Yak Rangi Shakal Deney Ki Koshish Ki Gae Nateeja Yeh Nikla Ke Mashraqi Bangal Jisey ( Mashraqi Pakistan) Kaha Geya Ke Nojawan Foran Hi Apni Zaban Ke Tahaffuz Ke Leyeh Uth Kharey Huye. Go Ke Quaid E Azam Kehte Rahe Ke Pakistan Aik Mazhabi Reyasat Ke Bajaey Jamhuri Mumlikat Hoga. Lakin Un Ke Bad Ke Hukumran Aur Umra Ne Mazhab Ko Taleem Mein Istemal Kerna Shuro Ker Deya Takey Qaumiaton Ki Shanakht Khatam Ker Ke Aik Nam Nihad “Nazaryati” Shanakht Ki Tedr Weej Ki Jaey.

Bilkul Issi Tarah Jaisey Tahreek Pakistan Ke Dauran Baz Muslim Leaguen Kehne “Muslim Hai To, Muslim League Mein Aa” Yani Jo Muslim League Mein Nahien Uske Muslim Hone Mein Shubhat Paida Keay Gaye Chahey Woh Maulana Abul Kalam Azad Jaisy Jaid Alam Hi Keon Nah Hon. Assi Tarah Pakistan Aur Urdu Ko Aik Ja Ker Deya Geya Yani Ffangali, Punjabi, Saraiki, Sindhi, Pakhtun, Aur Blouch Wagaira Nahien Balkey Unhein Thonk Peet Ker Aik Yak Rangi Pakistani Qaum, Aik Qaumi Zaban Urdu Key Shanchey Mein Dhalney Ki Koshisheny Ki Janey Lagien Chukey Pakistan Mein Taleem Key Kerta Dharna Khabi Bhi Aisey Log Nahien Rahey Jo Qaumon Key Irteqae Amal Se Waqif Hon Key Uroup Mein Qaumi Riaston Key Qeyam Key Asbab O Alal Keya They Ya Yeh Key Wahan Qaumeyatein Aur Qaumi Zabanein Kaisey Perwan Charien Iss Leyeh Pakistan Mein Shuroo Hi Se Taleemi Nezam Ko Kisi Samaj Yati Shaoor Key Begaier Kheyali Falmulon Key Zareay Chalaney Ki Koshish Ki Gae.

Hamara Nizam E Taleem Jab Maqsad Yeh Bana Leya Jaey Key Iss Se Tor Maror Ker Aik Qaum Tashkeel Dey Di Jaey Gi To Iss Se Lamahala Mukhtalif Qaumiyaton Ki Haq Talfi Hoti Hai. Aik Wafaq Ya Kisi Bhi Intezami Akae Mein Log Iss Waqt Matahid Rah Sektey Haien Jab Unkey Inferadi Takhshes Ki Zamanat Di Jaey Cha Hei. Woh Aik Ghar Hi Keon Na Ho. Iss Ke Beraks Pakistan Mein Lasani Ranga Rangi Ko Masal Deya Geya. Jis Se Bahaisyat Aik Wafaqi Mumlikat Pakistan Ko Shaded Nuqsan Pahoncha. Issi Leye Hamara Mulk Aik Rodad ,Hissas Motahmil Burdbar Aur Wasi Ul Mushrib Mashra Na Ban Saka. Yad Rahe Ke Qayam E Pakistan Se Pehle Hamarey Elaqe Mashron Mein Khubyan Bari Had Tak Maujood Thien. Zahir Hai Ke Jehan Choti Qaumiyatein Kisi Ginti Mein Na Hon Wahan Adam Mosawat Barhey Gi Jis Mein Hamarey Taleemi Nezam Ne Bara Kirdar Ada Keya Hai.

Aik Taraf To Aisi Taleem Dainay Ki Koshish Ki Gae Jis Se Pakistan Aik Kasirul Qaumiyati Mulk Ke Bajaey Aik Qaumi Mulk Ban Jaye Magar Sath Hi Iss Bat Ki Koshish Ki Gae Ke Taleemi Adam Mosawat Bhi Apni Jagah Barqarar Rahe Yani Aisi Taleemi Policies Nahien Banae Gaye Jis Se Moshrey Mein Samaji O Mashi Tafawat Kam Hosakey Balkey Hukmranon Aur Umra Key Bachchon Key Leyeh Magrabi Tarz Key School Aur Mosllah Afwaj Key Marat Yafta School Na Sirf Baqi Rah Gaey Aur Unhein Rar Mumkin Imdad Faraham Ki Jati Rahi Jab Key Khud Awam Iss Se Mahroom Rakhey Gaey Aur Unhein Nazaryati Aur Qaumi Afeem Khela Ker Solaney Ki Koshish Ki Gae Inn Marat Yafta Schoolon Se Hukmrano Aur Umra Key Bachchay Angrezi Mein Jadeed Tareen Taleem Hasil Kerkey Hukmerani Key Leyeh Taiyar Hoker Nikeltey Rahey Yani Batein To Aik Qaum Aur Aik Zaban Ki Hoti Rahein Magar Der Haqeeqat Adam Mosawat Per Mabni Taleemi Nezam Perwan Charaya Jata Raha 1947 Mein Honey Wali Pehli Taleemi Conference Ka Aik Nukta Tha “Madrasonko Amm Taleemi Nezam Nezam Se Munsalik Keya Jae Ga “ Ajj 65 Sal Guzerney Key Bad Bhi Yahi Batein Tawater Se Dohrae Jati Rahti Haien.

Phir Bad Mein Aney Wali Taleemi Palesyon Ney Kam O Besh Wahi Batein Dohraien Jo Pehli Conference Mein Ki Gaien Thien Alfazmokhtalif They Magar Lab E Labab Aik.

First Meeting Board Of Education Pakistan

June 1948

Pakistan Ke Pehle Taleemi Board Ka Ijlas June 1948 Mein Huwa. Jis Mein Ilan Keya Geya Key Bachchon Ko Panchween Jamat Tek Madri Zaban Mein Taleem Di Jaey Gi. Jis Ke Bad Batedrej Urdu Aur English Pardaye Jaye Ga. Yeh Bhi Faisla Keya Geya Ke 1957 Tak English Ki Jaga Urdu Ley Legi Aur Taleem Ko Mazhab Se Ham Ahang Keya Jaey Ga. 1950 Ke Ashrey Mein Bhi Taleemi Board Ney Yahi Rat Lagay Rakhi Key Taleem Key Zarey “Nazaryati Aur Seyasi Aik Jahti” Paida Ki Jay Gi Panchween Jamat Tak Madri Zaban Mein Taleem Ka Wada Kabhi Pura Na Hosaka Keon Key Qol Aur Fail Dono Tazad Se Bhar Pur They. Aik Taraf Madri Zabano Ki Bat Ki Jarahi Thi Dosri Taraf Urdu Ko Aik Qaumi Zaban Ke Tour Per Mosalat Keya Jar Aha Tha Aur Teesri Taraf English Ko Mokammal Tahaffuz Deya Jar Aha Tha. 1949 Ke Ijlas Mein Wada Keya Geya Key 20 Sal Mein Khandagi Ka Tanasub 80 % Tak Pahoncha Deya Jae Ga. Jo Aaj Tak Bhi Aik Khab Maloom Hota Hai. Lakin Iss Ka Matlab Yeh Nahein Ke Kuch Nahein Hua Na Taleemi Adarey Banay Gay Nai Molazmaton Ke Mawaqey Nikale Gaey Jo Zeyada Ter Jan Pahchan Walon Ko Di Gae Ya Seyasi Fawaed Hasil Kerney Ke Leyeh Istemal Ki Gaein. Ala Taleemi (High Education) Adaron Per Ziyada Zor Raha Keonkey Waheen Per Ala Darjey Ki Molazmatein Bhi Thein Aur Deegar Marat Bhi Jo Afsar Shahi Mein Mergoob Rahi Haien.

Education Commission Of Pakistan

Ayub Khan Ne 1959 Mein Aik Taleemi Commission Banaya. Jis Ne Wada Keya Ke 10 Years (Das Sal) Mein Lazmi Primery Taleem Hasil Ker Li Jaye Gi Aur Pandra Saloon Mein Yani 1974 Tak Lazmi Midle Taleem Mulk Mein Amm Hogi Lakin Us Ke Sath Hi Commission Ki Report Ne (Education) Taleem Ke Falahi Tasauar Ko Rad Ker Deya Aur Kaha Ke Achchi Taleem Mehngi Hoti Hai. Jis Ke Leyeh Logon Ko Qurbanyan Deni Hongein. Iss Soch Ka Tasalsul Yeh Hai Ke Her Sitah Per Taleem Ko Bohot Bhari Qimaton Mein Becha Jaraha Hai.

Ayub Khan Ki Hukumat Mein

Hamara Nizam Etaleem

Ayub Khan Ki Hukumat Makhsoos Logon Ke Bachchon Ke Leyeh Her Mumkin Madad Kerti Rahi Maslan Cadet College Aur Public Schoolon Ko Reyasti Wasael Se Beshumar Sahultein Di Gaein Assi Dour Mein Text Book Board Yani Dersi Ketabon Key Adarey Banay Gay Jin Key Zarey Serkari Ketabein Taleemi Nezam Per Mosallat Kewr Di Gaein Inn Serkari Dersi Ketabon Ker Zarey Iss Baat Ko Yaqeni Banaya Geya Key Hukumati Palesyan Dor E Seyasat Per Havi Rahein Yahi Woh Dour Tha.

Jab Morakh Ishtiaq Hussain Qureshi Ney Tareekh Ko Aik Salami Rang Deney Ki Koshish Ki Lakin Der Haqeeqat Pakistan Key Tarekhe Aur Saqafti Rishtey Berr E Sagir Se Tor Kewr Arab Mumalik Se Jorney Ki Koshish Ki Gae Dersi Ketabon Mein Gair Muslimon Key Khelaf Nafrat Ko Barah Deya Geya Mazhabi Rawadari Aur Bhai Charey Ka Gala Ghont Deya Geya Iss Key Elawa Sitam Zarifi Yeh Key Maqami Tareekhi Shakhsiyat Ko Nazer Andaz Kerkey Sindh, Balochistan, Pakhtun Kha Aur Saraiki Elaqey Ko Faramosh Ker Deya Geya Aur Aisey Tareekhi Waqat Aur Shakhsiyat Ko Barah Charah Ker Pashe Keya Geya Jin Ka Maqami Rabt Na Honey Key Baraber Tha.

Jab Mulk Mein Marat Yafta Talaeemi Adaron Per Ley Dey Honey Lagi To Serkari Sitah Per Maret Ka Ilm Tha Leya Geya Yani Yeh Kaha Janey Laga Key Her Taleemi Adarey Mein Hewr Kisi Ko Chahey Woh Gareeb Ho Ya Ameer Dakhley Key Masawi Mawaq E Mohaeya Key Jaeni Gein Shirt Yeh Hai Key Woh Maret Per Mabni Dakhley Key Imtehan Pas Ler Lein Ajj Bhi Cadet College Aur Degar Taleemi Adarey Yahi Rag Alaptey Haien Key Un Mein Se Kisi Key Sath Koi Imteyazi Salook Nahein Hota Aur Agar Kisi Gareeb Ka Bachcha Bhi Dakhley Ka Imtehan Pas Kerley To Usey Fees Na Honey Ki Waha Se Dakhley Se Mahroom Nahien Keya Jata Balkey Uskey Leyeh Scholer Ship Ya Wazefey Ka Bandobest Ker Deya Jata Hey Bazahir Yeh Bat Bhi Maqool Maloom Hoti Hai Magar Zara Gor Kejyeh Karachi Ya Lahore Mein Grammar School Ka Parah Hua Bachcha Aur Goth Ghulam Mohammed Key Serkari School Ka Parah Hua Bachcha Jab Aik Hi Dakhley Key Imtehan Mein Baithein To Masawi Moqa Milney Key Bawajood Ziada Number Lon Lega.

Poor Education System In Pakistan

Hamara Nizam E Taleem In Urdu

Poor Education System Agar Pakistan Mein Hukumat Aur Taleem Aisey Logon Key Hath Mein Hoti Jo Samaji Artqa Ka Shaur Rakhtey To Unhein Maloom Hota Ke Masrey Jo Aaj Ilm-O-Fun Ki Bulandyon Per Haien Unhein Yehan Tak Pahonchaney Mein Azadi Ifkar-O-Izhar Ney Bahot Aham Kirdar Ada Keya Hai. Pakistan Key Qiyam Key Bad Asatza Aur Talba Hykmeranon Se Kahein Zayada Bashaoor They Aur Mosalsal Azadi Ifkar-O-Izhar Key Leyeh Jaddo Jahad Ker Rahey Aur Qurbanyan Dey Rahey They Magar Iss Khab Ko Mosalsal Chakna Chur Keya Jata Raha Jawaz Yeh Tha Key Chunkey Riyasti Taleemi Adarey Reyasti Kharch Per Chaltey Haien Iss Leyeh Reyasat Ka Unper Mokammal Ikhteyar Hona Chaeay.

Yeh Jawaz Deney Waley Yeh Bhultey Rahey Key Reyasti Kharchey Darasal Wasael Se Purey Keay Jatey Haien Aur Awam Ki Mehnat Ka Paisa Hai Jo Reyasat Ko Chalata Hai Aur Agar Awam Azadi Ifkar-O-Izhar Chatey Haien To Yeh Unka Haq Hai Na Key Reyasat Ka Key Woh Nazaryat Mazhabi Jawaz Ki Arr Mein Iss Haq Ko Kuchley 1969 Mein Jab Jeneral Yahya Khan Ney Iqtedar Per Qabza Keya To Aik Aur Taleemi Palesi Per Kam Shuroo Kerwa Deya Iss Bar Koi Jaj Nahien Balkey Aik Foji Afser Yani Air Marshal Noor Khan Ko Yeh Kam Sonpa Geya Key Woh Pakistan Ki Taleem Ki Cholen Theek Ker Leien.

Dil Chasp Baat Yeh Hai Key Pakistan Ki Taleemi Tarekh Mein Shaed Hi Kabhi Kisi Mahir Taleem Ko Taleemi Palesi Ka Sarbarah Banaya Geya Ho Aksar Yeh Kam Jaj Aur Foji Ker Tey Rahey Taleem Ka Tea Pancha Kerney Mein Sabiq Wuzraey Taleem Jestic Gos Ali Shah Se Leker Jeneral Ashraf Qazi Tak Sab Key Hat Rangey Huay Haien.
 

AFRASIAB ALI
About the Author: AFRASIAB ALI Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.