Home » Blogs »

بجلی کی قیمت میں سترہ فیصد اضافہ - عوام ایک بار پھر لاچار۔۔۔

حکومت کی جانب سے بجلی کی مد میں دی جانے والی پینسٹھ ارب روپے کی سبسڈی واپس لینے کے فیصلے کے بعد بجلی کی قیمت آئندہ برس بیس فیصد تک بڑھا دی جائے گی۔ پہلے مرحلے میں یکم جولائی دو ہزار نو سے بجلی کی قیمت میں سترہ فیصد اضافہ ہوگا، جبکہ دسمبر دو ہزار نو میں تیرہ فیصد تک بجلی کی قیمت بڑھا دی جائے گی۔ دوسری جانب واپڈا فاٹا سے اسی ارب روپے اور دیگر اداروں سے ایک سو بیس ارب روپے کے واجبات کی وصولی میں ناکام رہا اس ناکامی پر پردہ ڈالنے کے لئے بجلی کی قیمتوں میں اضافہ کیا جا رہا ہے۔

ٹرانسپرینسی انٹرنیشنل کے موجودہ سروے کے مطابق پاکستان میں گزشتہ تین سالوں میں کرپشن میں 400 فیصد اضافہ ہوچکا ہے جو کہ سن 2006 کے 45 بلین روپے سے بڑھ کر سن 2009 میں 195 بلین روپے ہوگئے ہیں۔ جبکہ محکمہ پولیس اور پاور کے اداروں نے سب سے زیادہ کرپٹ ہونے کی پہلی اور دوسری پوزیشن برقرار رکھی-

کیوں ہر بار حکومت اور حکومتی اداروں کی غلطیوں کا خمیازہ عوام کو ہی بھگتنا پڑتا ہے؟

Reviews & Comments

Post your Comments Select Language:    
Name:
Email Address:
Your email address won't be shared (Privacy Policy)
City:
Type your Comments / Review in the space below.
 
Bijli ki Qeemt Main izafa or 101 ki nai Zalimana salaib bana kar Hakoomat ne Awam ki kamar main churi maari hay. Chief Justic Pakistan se Apeel hay ke 101 ki nayi Salaib khatam ki jay or 1 to 300 ki Nai Salaib jay. Jamhooriat ke DaaweDaaron ne Bijli ki Qeemat itni Ziaada Barha di hay ke ab Log Musharaf or Shokat Aziz ka Naam Bahut Ehtraam se Lety hain jin ke dor main 17 arab Doller bhi mojood thy , 3 arb Doller Qarz Wapis bhi kia gia or Bijli Petrol Gas Ki Qeemat samait Mehngaayi bhi na thi..... Sub se Bari Baat La-Qanooniat itni na thi..... Ab to jo jitni Malish Karta hay us ko itni Bari Seat mil Jaati hay..... !! Allah Un ko Ghaarat Kary jin ke Burry Aamal or Curapshan ki Waja se Aaj Poori Qom Azaab Main Hay.
Dr.Afzaal Malik, Rawalpindi Saturday, November 05 2011
Dhamial Sub Divion ko Allah hi Poochy Ga, 2 Dec 2010 ko Meter Reader Aaya or Ashraf Colony main mery ghar ki Units 159 Likh ke le gia or Saath Nadra ID card ka number bhi likha..... is ke Bawjood 16 ko jub Web pe Apna Bill Dekha to 159 ki Bajay 232 Units ka Bill Bana Hua tha..... Ab Yahan se Curreption ka Andaza kar Lein ke 73 Units izafi Tor pe Daali Gai Hain, Jiss se Kam az Kam 560/- Rupees Bila Jawaz Tor pe Ziada Aaya Hay. Ab Har Maheena Kon Bhaag Bhaag ke Bill Theek Karwata Rahy.... ??
Afsos ke Wapda Walon ko Shayed Koi Nahi Poochta.... !! Hamari DG FIA Waseem Sahib, Fedral Manister Rehman Malik, Fedral Manister Raja Pervaiz Ashraf or CJP se Apeel Hay Wapda main izafi Units Daalna Sangeen Jurm Qaraar Dia Joy or Wrong Meter Reading Karny Waloon ke Khilaaf Sakht Karwayi ki Joy. Umeed Hay Action ho ga
Dr.Afzaal Malik, Rawalpindi Thursday, December 16 2010
Rehman Malik Sahib ne Currept Hukkam ko Pakarny ke Liey Sanjeeda Aqdamaat ka ilan kia hay or kaha hay kisi bhi mehkmy main hony waali Curreption se Direct DG FIA Ya Manister ko inform kia joy to arz hay Wapda main payi jany waali Curreption pe Agar Qabu pa lia Joy to mulk ko Salaana 400 Arb Rupees mil Sakty hain, Lekun is ke liey Zaroori hay ke Ghareeb ki bajay Wapda ke Currept Amla ko bhi Pakra joy.
Gareeb Sarfeen pe Bila Jawaz Jurmany Daal ke Wapda Hukaam Apni Curreption pe Parda Daalty or Bagher Meter Reading kam az kam 50 so 100 Units izaafi tor pe bill main daal detu hain, Jub Bill Theek Karwany Jao to SDO nahi milta ya phir Dobara agly maheena Theek karwayi gai Units Daal di jaati hain. Due Date se aik din pehly ya date Expire hony ke baad bil Bhijwana bhi Curreption main hi aata hay. Plz Check
Dr.Afzaal Malik, Rawalpindi Tuesday, November 23 2010
Afsos Hamary Awam Curreption Scandels ko yaad nahi rakhty....
28 June 2008 ko Raja Pervaiz Ashraf ne Qoumi Assembli main Farmaaya tha ke Last 10 Months main 378 Arb Rupees ke Line Loses huy Or 19 Arb Rupees ki Bijli Chori Pakri Gai. Aaj kal IMF se Qarzon pe Qarzy hasil karny ke liey Muzakraak pe Muzakraat ho rahy hain Jo Sirf Hukmraano ki Ayaashion main hi Kharch ho jaata hay. Baar Baar Bijli ki Qeemton main izafa karny waaly Hukmraanon or un ki Back karny waali Assembli main agar itna Dum hay to Pehly Line Loses ko Roky..... !!
Khuram Shehzad, rawalpindi Sunday, November 14 2010
40 % Line Loses ko Rokna Hakoomat ki Zimadaari hay. IESCO Dhamial Sub Divion Meter Readers Bahut Badtameez hain or Ghar Baithy Reading Note Kar ke Andaazy se Bill Bhaij Dety hain. IESCO Dhamial Sub Divition ka Staff (including Meter Reading Staff) Bahuuut Badtameez hay. SDO kabhi Seat pe Nazar Nahi Aata , Tamam din Log intezaar kar ke Ghar Chaly Jaaty hain Or Woh Office hi nahi Aata Ya Mobile Phone Sarkaari Attend hi nahi Karta.....
Raja Pervaiz Ashraf se Guzarish hay ke Dhamial Sub Divion Wapda IESCO ka Notice Lia Joy. Agar aik sub divion ka Nizaam Theek ho gia to Dekhna Pooora IESCO theek ho Joy ga. Baat Sirf Action Leny ki Hay.
malik leo, Rawalpindi Saturday, November 06 2010
bijli ki qeemt main izaafa kisi soorat nahi hona chahyee, agar kam karna hi hay to 33% Line Loses kam kiey jaen...... !!
Wapda ke aaj tak kissi Currapt Aala Afsar ko kion nahi Lion Loses Ya Bijli Chori main Moaawnat Karny pe kion nahi pakra gia??? Ab to aisa lagta hay awam ko majboor kia ja raha hay ke wapda ke Line Mainon ke Sath Milli bhagat kar ke Kuch "Monthly"tey kar lein...... Kion ke Waisy bhi "Wapda" waaloon ko kon Pooochta hay, Bus "Hissa"Baraabar Dety Raho or khud bhi khaaty raho
malik leo, rawalpindi Saturday, October 02 2010
Bijli ki Qeemt Main izafa or 101 ki nai Zalimana salaib bana kar Hakoomat ne Awam ki kamar main churi maari hay. Chief Justic Pakistan se Apeel hay ke 101 ki nayi Salaib khatam ki jay or 1 to 100 or 101 to 300 ki Purani Slaib Bahal ki jay. Jamhooriat ke DaaweDaaron ne Bijli ki Qeemat itni Ziaada Barha di hay ke ab Log Musharaf or Shokat Aziz ka Naam Bahut Ehtraam se Lety hain jin ke dor main 17 arab Doller bhi mojood thy , 3 arb Doller Qarz Wapis bhi kia gia or Bijli Petrol Gas Ki Qeemat samait Mehngaayi bhi na thi..... Sub se Bari Baat La-Qanooniat itni na thi..... Ab to jo jitni Malish Karta hay us ko itni Bari Seat mil Jaati hay..... !! Allah Un ko Ghaarat Kary jin ke Burry Aamal or Curapshan ki Waja se Aaj Poori Qom Azaab Main Hay.
Dr.Afzaal Malik, Rawalpindi Friday, September 24 2010
Hukomat ko chahya awam ko bijly pani gass aour gher free frahum karay baroni imdad ko jo salab zadgan k liya aya hai on per kherch karain na k apny alladno k lya bank aur jaydad bana ker chor jay aur awam ki baddua se bachy awam ko chahya ke bajli gass free day hukomat werna tankha her ak mazdor ki 25 hazar karey jitni mehangai hai otni tankh honi chahya aur tajer log huko mat ko tax dane k bajaya mzdoor ki tankha main izafa karen aur mulk main jab koi mosibat aya to to khud sambhly. huko mat sawy bhok piyas aur mot k kuch nahin da sakti.
asma, karachi Thursday, August 26 2010
Rental Power Mansooba ke hawaly se aik Tajveez hay Agar Karaya pe "Puraany"Rental Power Leny ka Mulk Dushman Mansooba Chor ke Rental Plant "Nia"Khareed Lia Joy. Kionky 5 Saal ka Karaya Ädvance"main Deny ka Mulk Muthamal nahi ho sakta......
is paisy se to 2 nay Plant Pakistan ko mil Sakty hain. Umeed Hay Assembly se Bahir or Shayed Essembly ke Andar ke Bhi "Mohib-e-Watan" Afraad is ki Zaroor Hamayet Karen gy.
ALLAH Hamary Mulk se Tamam Mulk Dushman or Mufaad Parast Afrad ko Ghaaarat Kary ..... Aamin
Dr.Afzaal Malik, [email protected] Wednesday, May 05 2010
Kala Bagh Dam ka Masla Qaumi Asembli main Paish hona Khush aayend hay. Ab yeh Siasat Danoon ka imtehaan hay ke woh yeh Saabat karen ke Woh Sorf Apny Mufaad main hi Baat Nahi Karty Balky Mulk ka Mufaad Bhi Mukadam Rakhty hain. Hamain Umeed hay 18th Tarmeem ki tarah Siasat Daan Apny Hisay ka "Mufaaad" Hasil karny ka koi Nia Darama Nahi Karen gy or Rental Powar ka Mulk Dushman Mansooba Har Soorat Nakaam Banaen gy. Mulk ke Ghareeb Awam ko Seedha Raasta Dikhaa kar Kala Bagh Dam Banany ka "Fori Ilan"Wakt ki Zaroorat hay. ALLAH Woh Din Jald Laayy. Aamin
Khuram Shehzad, Rawalpindi Monday, May 03 2010
Wapda k Woh Aala Afsraan jo 32 % Line Loses Nahi Rok Sakty Mulk ki Kia Khidmat Karen Gy ???? Hairat hay "Jamhoori" Hakoomat (jiss ke Baary Main Baaz Mufaad Parast Kaha Karty Thy ke Awam ke Liey Bahut Achi Saabat ho gi) Aam Aadmi k Liey Kab FaidaMand ho gi ???? Ab Tak Jo Baaten Saamny Aayi hain Un k Mutabiq Wazir Bijli ko 60 Karoor ka London main Flate Sirf Rental Power k Badly Mila hay......... Interier Minister ki Bararfi Maraat main Badal Di Gai Hay ....... Rental Power k Bary Main Kaha Jaata hay ke jo Mukamal "Nia" Plant 240 Milion Dollor ka mil Jaata hay (520 Milion) Dollor Karaya pe Hasil Kia Gia Hay..... Afsos Aisi Jamhoori Hakoomat pe k Jiss ne Apni Saaakh Bachany ki Zara si bhi Koshish nahi ki ... !! Coal se Bijli 1.30 per Unit Parti hay, Gas se Bijli 2.40 per Unit Banti Ha Lekun (Hamari Jamhoorit ke Libaady Main Hony Waali Coruption ko) Commision Nahi Milta na .... !! ALLAH hi in Hukmraanon ko Hadayet De.... (Aamin)
khuram Shehzad, Rawalpindi Tuesday, April 20 2010
Kunda Group ke Khilaaf Karrwayi Khush Aayend Hay Lekun Wapda ke Woh Aaala Afsraan jo Bhaari Tamkhawah or Maraaat Hasil Karny ke Bawajood Line Loses Nahi Rok Saky Un ke Khilaaf bhi Karrwaayi Honi Chahyee...... Bari Bari Tond Waloon ke Pait Se 32% Line Loses Wasool Kiey Jaen to Bijli ka Masla Hal Ho Sakta Hay. Aik Or Ghuzarish Araakeen Assembli ko Ab KALA BAGH DAM pe bhi behs Ka Aaghaaz Karna Chahyee jiss ko Sirf Raja Pervez Ashraf ne Rukwa dia hay....... Plz
Dr.Afzaal Malik, Rawalpindi Friday, April 16 2010
Awam se Apeel Hay ke Bijli ki Qeemat main Sirf 2 Saal Main 120 % izaafa Karny Waalon ke Khilaaf Ehtjaj main yeh Made-Nazar Rakhen ke Hukmraan Ghair hain to kia hua "Yeh Aap ka Apna Mulk hay, Or Aap ne hi is main Hamaisha Rehna hay, Apny Bachon ki Hifazat ki Khatar is Mulk ki har cheez ki Hifazat karna bhi aap ka Farz hay". Agar Ehtjaj ho to Yeh Zaroor Dekhen Awami Amlaak ko Koi Nuqsaan na ho Aakhir yeh... Aaj kal aik khaas baat jiss se Awam ko Alert Rehny ki Zaroorat hay kissi bhi Muzahiry main RAW Ya Musaad ke Log bhi Shaamil ho Sakty Hain (Mery khayaal main Loot Maar or Awami Amlaak ko Nuksaan Ponchaany Waaly). PurAman Ehtejaaj Awam ka Haq hay, Section 144 Lagany Waaly Jamhoori Nahi AAmriat ki OOOlaad Hain..... hamary apny hi bhai hain... "Waisy Aik Baat Samjh nahi Aayi ke Awam Unhain Loootny Waalom ko hi hamaisha Vote Kion Dety Hain" ?????
Dr.Afzaal Malik, Rawalpindi Tuesday, April 13 2010
Bijli ki Qeemat main izaafa ki bajay sirf wazeer bijli ko hata dia jay or kissi parhy likhy aadmi k wazarat di jay jiss ko apni or hakoomat ki zabaan ka paas ho. Had ho gai koi zabaan nahi , koi insaan agar zabaan de to jaan de deta hay lekun yeh kamaal dhitaayi se wazarat se chimty huy hain...... Apni zabaan ka paas karna hi MARDAANGI hay jo shayed un main nahi hay ...... yahi masly ka hall hay
Malik Leo, rawalpindi Thursday, March 25 2010
jitne marzy mehngi kar lain khazana too khali rahey gaa jab tuk hamaray syasat dano k pait nahi bharte bijlee to atti nahi hay or her mahinay double bill aa jatay hain ALLAH taala kaa farman hay jaise Aawam main aisay he hokamran in per mosalat kar daita hoon zara samjheyey
mehboob, kamalia Thursday, January 07 2010
is se pehly bijli ki qeemat aisy barhayi gai jaisy Ganna (Shugar Stick) ka Phog masheen main 4th time Daal ke us ka chand qatry Rus Mazeed nikaala jaata hay.... !! Ab hukmraano ki tarah aik or buri news hay ke Gas ki Qeemat main 26% izaafa kia ja raha hay jo GST milla kar takreeban 31% ho ga.... Awam kitni be hiss ho chuki hay apny hakeeki masayel bhool ke Zardaari Nawaz Mulakaat (khaaya pya kuch nahi glass tora 12 aany) per Taalian bajaa rahi or Khush ho rahi hay... !! Allah insaaf karny waala hay Allah hi Mulk ko Bairooni or Androoni Dushmano se Mehfooz Rakhy jo Qeematen Baar Baar Barhaa Rahy hain (Yeh sochy baghair ke Ghareeb ka to ab Blood bhi khushk ho gia hay jissy Farokht kar ke woh Bill de Saky).
Khuram Shehzad, Rawalpindi Wednesday, October 28 2009
Bijli ki qeemtoon main izaafa zulm hay jo hakoomat kamaal dhitaayi ke saath kiey jaa rahi hay.... Ghareeb Awam ka Hakoomat aakhir kyon nahi soochti ?? Aakhir kyon sochy awam bhi to Vote dety huy apna acha bura nahi sochti !!!!! Aankhen Band kar ke Thapy Lagaati hay..... Phir Aisy hi Amanat Daar Log Musalatt Hoon gy.... !! Bijli ki qeemat main kami ho sakti hay agar Wapda ka Courrept Afsraan ko Bijli Chori or Line Loses Case main Pakar ka Latka dia joy !!!!!!
Malik Leo, rawalpindi Thursday, October 08 2009
Lo Ji Aik Baar nahi 20 veen Baar Phir bijli ki Qeemat main Izafa hony Waala hay .... Ab ki Baar Qavi Umeed hay ke Awam Zaroor Zulm ke Khilaf Awaz Buland Kary gi , is liey Awam se Apeel Hay ke Ehtjaj main yeh Made-Nazar Rakhen ke Yeh Aap ka Apna Mulk hay, Or Aap ne hi is main Hamaisha Rehna hay, Apny Bachon ki Hifazat ki Khatar is Mulk ki har cheek ki Hifazat karna bhi aap ka Farz hay. Agar Ehtjaj ho to Yeh Zaroor Dekhen Awami Amlaak ko Koi Nuqsaan na ho Aakhir yeh hamary apny hi bhai hain... "Waisy Aik Baat Samjh nahi Aayi ke Awam Unhain Loootny Waalom ko hi hamaisha Vote Kion Dety Hain" ?????
Dr.Afzaal Malik, rawalpindi Monday, September 28 2009
ALLAH ka Shukr hay Bijli ki Qeemat Barhaany or Zalimaana Slab System per Ehtjaaj main Pakistan ki Ladies bhi Shamil ho gai hain ... UK ke Dr Sahib ki Positive Baton Se Umeed thi ke Awam Jaagy gi... Lekun Hamain Parliment main Baithy Har us Shaks ko Jagaana hay (jiss ne Khuda ko Jaan Deni hay)... ALLAH in Ba-ikhtiaar Numa Be-Bus Logoon ko Tofeek de ke Woh Bijli ki Zalimaana Slaib jo 101 Units se hi bijli 4.96 Rupees karny per Awwaz Buland karein... Ab Suna hay 101 Units se hi Bijli 5.36 Rupees per Unit ki Ja Rahi Hay.... (To Sochen Bill Kitna Aaye Ga) ???? ALLAH is Mulk ke 17 karor awam ke Gooongi Behri Parliment ko Awam ke Haqooq ki Khatar Awwaz Buland Karny ki Tofeek de ... !!
Dr.Afzaal Malik, rawalpindi Monday, September 14 2009
aik baar phir bijli ki qeemat main izaafa ki itlaat hain, ALLAH khair karay hakoomat aakhir itna zulm kion kar rahi hay kabhi zalimana slaib or kabhi rates main izaafa ? kia yahi jamhooriat hay ? kon kehta tha musharaf jaye ga to saary masayle hal ho jaen gay .... awam ke masayle to pehly se 250% barh gay hain albata siasat daanoon ke masayle hal ho rahy hain baaz ne to 60 karor ka mehal bhi khared lia hay ..... !! Baaz ko cheeni ka bohraan raas aa gia hay .... Rental power plants ki tanseeb ab start ho gai hay ab is Gooongi Behri or Langri Loooli Parliment se bhi Pooch lia jay ... !! Bhains ke aagy been bajany ka faida to koi nahi .... !!!! Awam so rahi hay !!
khuram shehzad, rawalpindi Sunday, September 13 2009
Displaying results 1-20 (of 116)
Page:1 - 2 - 3 - 4 - 5 - 6First « Back · Next » Last