Qaza Namaz

:::::::: Qaza Namaz :::::: Huzoor SallallahuAlaihi Wasallam Ne Farmaya: Jo Namaz Se So Jaaye Ya Bhool Jaye to Jab Yaad Aaye Padh Le Ke Wohi Uska Waqt Hai. [ SAHIH MUSLIM J:1 S:241 ] Fuqha E ikram Farmate hai: Sote Me Ya Bhoole Se Namaz Qaza Ho Gai To Uski Qazaa Padhni Farz Hai, Albatta Qaza Ka Gunah Is Par Nahi magar Bedar Hone Par Aur Yaad Aane Par Agar Waqte Makrooh Na Ho To Usi Waqt Padh Le Takhir Makrooh Hai. [ Aalamgiri Jild:1 Safah:124 ] Jiski aaj Fajar ki Namaz Qaza hui ho wo jaldi se Qaza namaz ada kar len, zyada namazen qaza ho wo Qaza e umri parha kare aur hamesha Namaz ko waqt ki pabandi ke saath padha kare take Aakhirat sanvar jaye. In shaa ALLAH Jazak ALLAHU khaira…….,

Latest Islamic SMS Messages