Add Poetry

Tohmatein Tu Lagti Hain Roshni ki Khwahish Mein

Poet: Noshi Gilani By: Savera , Lahore

Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Ghar Se Baahar Aane Ki
Kuch Saza To Milti Hai
Log Log Hote Hain
Inn Ko Kya Khabar Jaana’n
Aap Ke Iraado’n Ki
Khubsoorat Aankhon Mein
Basne Waale Sapno’n K
Rang Kaise Hote Hain
Dil Ki Gaud Aangan Mein
Palne Waali Baato’n K
Zakhm Kaise Hote Hain
Kitne Gehre Hote Hain
Kab Ye Soch Sakte Hain
Aisi Be-Gunaah Aankhein
Ghar Ke Kone Khudro’n Mein
Chhup Ke Kitna Roti Hain
Phir Bhi Ye Kahaani Se
Apni Kaj-Bayaani Se
Iss Qadar Rawaani Se
Daastan Sunte Hain
Aur Yaqeen Ki Aankhein
Sach Ke Gham-Zada Dil Se
Lag Ke Kitna Roti Hain
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Tohmato’n Ke Lagne Se
Dil Se Dost Ko Jaana’n
Ab Nidhaal Kya Karna
Tohmato’n Se Kya Darna
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Ghar Se Baaher Aane Ki
Kuch Saza To Milti Hai

Rate it:
Views: 5032
27 May, 2013
More Noshi Gilani Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets