Add Poetry

Beti

Poet: Zaib un Nisa By: Zaib un nisa, Gujranwala

Zindagi Hai Jahd E Musalsal Ka Ik Naam
Zindagi Hai Jesy Ik Sulagti Sham
Rishtoon Mein Bandhi Zanjeerein Hain
Oroo Ki Likhi Taqdeerein Hain
Namhsos Sy Andaz E Qatal Hoty Hain
Khi Komal Jazbat Ka
Khi Kisi K Khyalat Ka
Kisi Pyary Sy Ehsas Ka
Kbhi Wehsht Sy Hoti Hai Tu Kabhi Uljhn Bhi Hoti Hai
Dil Krta Hai Yeh Tkrar
Beti Hona Gunah Ho Jesy
Ik Qaidi Ki Saza Ho Jesy
Apni Khuwhishat Dbaye Jo
Rasmoon Ki Daar Chrh Jye Jo
Ankhein Jiski Banjr Hoon
Daman Jiska Khali Ho
Khud Sy Na Kuch Soch Sky
Sab Sochein Mazoor Hoon Jiski
Oroo K Khy Pr Sir Hilaye
Bin Boly Wo Chlti Jye
Smjhoty Kry Wo Kai Hazar
Phir Bhi Qadar Na Paye Wo
Jis Ka Na Ho Humraz Koi
Khud Sy Dr Dr Jye Wo
WO Lrki Achi Lrki Hai
Woh Beti Achi Beti Hai
Lakin In Zanjeeron Mein Khi Pr
Ikk Aag Jli Hai
Or Raakh K Neechy Bat Dabi Hai
Yeh Ankhei Uski Khti Hain
Beti Hona Gunah Ho Jesy
Ik Qaidi Ki Saza Ho Jesy
Ik Qaidi Ki Saza Ho Jesy
 

Rate it:
Views: 733
10 Oct, 2019
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets