Add Poetry

Hawas Naseeb E Nazar Ko Kahien Qarar Nahi

Poet: Sahir Ludhianvi By: Waqar Ali, Karachi

Hawas Naseeb E Nazar Ko Kahien Qarar Nahi
Main Muntazir Hun Magar Tera Intazar Nahi

Humi Say Rang E Gulistan Humi Say Rang E Bahar
Humi Ko Nazm E Gulistan Pey Ikhtayar Nahi

Abhi Na Cher Mohabbat Kay Geet Ay Matrab
Abhi Hayat Ka Mahool Khushgawar Nahi

Tumharey Ehad E Wafa Ko Main Ehad Kya Samjhon
Mujhey Khud Apni Mohabbat Ka Aitbar Nahi

Na Janey Kitney Giley Is Me Muztarib Hain Nadeem
Wo Ek Dil Kisi Ka Gila Guzar Nahi

Gurez Ka Nahi Qail Hayat Sey Lekin
Jo Sach Kahon To Mujhey Maot Nagwar Nahi

Ye Kis Muqaam Pey Pohncha Dia Zamaney Ney
Kay Ab Hayat Pey Tera Bhi Ikhtayar Nahi.
 

Rate it:
Views: 1635
29 Apr, 2014
More Sahir Ludhianvi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets