Add Poetry

Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili

Poet: Pirzada Qasim By: Haris, Lahore

Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye
Gam Se Jalte Chehre Ko Raushni Na Samjha Jaye

Gaha Gaha Wahshat Main Ghar Ki Simt Jata Hun
Isko Dasht-E-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye

Lakh Khushguman Duniya Bahimi Talluq Ko
Dosti Kahen Lekin Dosti Na Samjha Jaye

Ham To Bas Ye Kahte Hain Roz Jine Marne Ko
Ap Chahen Kuch Samjhen Zindagi Na Samjha Jaye

Khak Karne Walon Ki Kya Ajib Khwahish Thi
Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye
 

Rate it:
Views: 1389
11 Oct, 2012
More Pirzada Qasim Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets