Add Poetry

Kia Tum Aa Nahi Saktay

Poet: Syeda Sadia Amber Jilani By: Syeda Sadia Amber Jilani, FaisalAbad,Punjab, Pakistan.

Kia Tum Aa Nahi Saktay
Kuch Pal Mujhay Behla Nahi Saktay
Q Itnay Door Ho Gaiye Ho
Q Khamosh Ho Itnay
Tumhy Maloum Hy Kia?
Hum Udass Hain Kitnay
Q Naraz Ho Gaiye Ho
K Hum Mana Nahi Saktay
Kia Tum Aa Nahi Saktay!
Ye Sard Hawae'n
Yaddo'n Ki Adae'n
Kitni Talakh Hoti Hain
Unmit Hoti Hain
K Jab Bhoolana Chahen
Khud Ko Behlana Chahen
Aur Yaad Aati Hain
Pal Pal Roulatien Hain
Bohat Bawafa Hain Shayed
Sada Sath Nibhati Hain
Hum Bhoola Nahi Saktay
Inhen Mitta Nahi Saktay
Kia Tum Aa Nahi Saktay!
Ansowao'n Ki Barishen
Ye Dard Kh Nawazishen
Zara Tum Hi Batao
Mujhay Ye Baat Samjhao
Bhala Q Zaror Hun
Ahsas Q Magror Hun
Meray Behtay Ansoo Ko
Apni Hathyli Me Sama Nahi Saktay
Mere Bharrtay Gham Ko Ghata Nahi Saktay
Kia Tum Aa Nahi Sakaty!
Musam Badaltay Hain
Q Dard Nahi Badaltay
Tum Chaand Ho To
Q Nahi Nikaltay
Q Chupay Ho
K Hum Apna Nahi Saktay
Tumhen Paa Nahi Saktay
Kia Tum Aa Nahi Saktay!
Amber! Tum Bin Taray
Jaisay K Uduray Hun
Bechain Say Jaisay
Koi Karwaa'n Thehray Hun
Ye Kon Tanhaio'n Mein
Muhabat Ki Sachaio'n Mein
Aksir Kehta Hy
Dill Udass Rehta Hy
Kia Tum Sun Nahi Saktay
Wada Nibhaa Nahi Saktay
Kia Tum Aa Nahi Saktay

Rate it:
Views: 375
02 Feb, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets