Add Poetry

Aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte

Poet: Bekhud Dehlvi By: Bekhud Dehlvi, khi

Aashiq Hain Magar Ishq Numayan Nahin Rakhte
Hum Dil Ki Tarah Chaak Gareban Nahin Rakhte

Go Aur Bhi Aashiq Hain Zamane Men Bahut Se
Dushman To Bahut Hazrat-E-Naseh Hain Hamare

Tum Dil To Kisi Ka Bhi Meri Jaan Nahin Rakhte
Sar Rakhte Hain Sar Men Nahin Sauda-E-Mohabbat

Rahta Hai Nigahban Mera Un Ka Tasawwur
Nafrat Hai Kuchh Aisi Unhen Aashufta-Saron Se

Dil De Koi Tumko To Kis Ummid Par Ab De
Rakhne Ko To Rakhte Hain Khabar Sare Jahan Ki

Ek Mere Hi Dil Ki Wo Khabar Han Nahin Rakhte
Dil Ho Jo Pareshan To Dam Bhar Bhi Na Thahre

Han Dost Koi Aap Sa Nadan Nahin Rakhte
Apni Bhi Wo Zulfon Ko Pareshan Nahin Rakhte

Kuchh Bandh Ke To Gesu-E-Pechan Nahin Rakhte
Bekhud Ki Tarah Ishq Ko Pinhan Nahin Rakhte

Ghar Kar Gain Dil Men Wo Mohabbat Ki Nigahen
Dil Rakhte Hain Dil Men Koi Arman Nahin Rakhte

Wo Mujhko Akela Shab-E-Hijran Nahin Rakhte
Un Tiron Ka Zakhmi Hun Jo Paikan Nahin Rakhte

Rate it:
Views: 875
20 Apr, 2015
More Bekhud Dehlvi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets