Add Poetry

Ulti Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya

Poet: Mir Taqi Mir By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Ulti Ho Ga.Iin Sab Tadbiren Kuchh Na Dava Ne Kaam Kiya
Dekha Is Bimari-E-Dil Ne Akhir Kaam Tamam Kiya

Ahd-E-Javani Ro Ro Kaata Piiri Men Liin Ankhen Muund
Ya.Ani Raat Bahut The Jaage Sub.H Hui Aram Kiya

Harf Nahin Jan-Bakhshi Men Us Ki Khubi Apni Qismat Ki
Ham Se Jo Pahle Kah Bheja So Marne Ka Paiġham Kiya

Nahaq Ham Majburon Par Ye Tohmat Hai Mukhtari Ki
Chahte Hain So Aap Karen Hain Ham Ko Abas Badnam Kiya

Saare Rind Aubash Jahan Ke Tujh Se Sujud Men Rahte Hain
Banke Tedhe Tirchhe Tikhe Sab Ka Tujh Ko Imaam Kiya

Sarzad Ham Se Be-Adabi To Vahshat Men Bhi Kam Hi Hui
Koson Us Ki Or Ga.E Par Sajda Har Har Gaam Kiya

Kis Ka Ka.Aba Kaisa Qibla Kaun Haram Hai Kya Ehram
Kuche Ke Us Ke Bashindon Ne Sab Ko Yahin Se Salam Kiya

Shaikh Jo Hai Masjid Men Nanga Raat Ko Tha Mai-Khane Men
Jubba Khirqa Kurta Topi Masti Men In.Aam Kiya

Kaash Ab Burqa Munh Se Utha De Varna Phir Kya Hasil Hai
Aankh Munde Par Un Ne Go Didar Ko Apne Aam Kiya

Yaan Ke Sapid O Siyah Men Ham Ko Dakhl Jo Hai So Itna Hai
Raat Ko Ro Ro Sub.H Kiya Ya Din Ko Juun Tuun Shaam Kiya

Sub.H Chaman Men Us Ko Kahin Taklif-E-Hava Le Aa.I Thi
Rukh Se Gul Ko Mol Liya Qamat Se Sarv Ġhulam Kiya

Sa.Ad-E-Simin Donon Us Ke Haath Men La Kar Chhod Diye
Bhule Us Ke Qaul-O-Qasam Par Haa.E Khayal-E-Kham Kiya

Kaam Hue Hain Saare Zaa.E.A Har Saa.At Ki Samajat Se
Istiġhna Ki Chauguni Un Ne Juun Juun Main Ibram Kiya

Aise Ahu-E-Ram-Khurda Ki Vahshat Khoni Mushkil Thi
Sehr Kiya E.Ajaz Kiya Jin Logon Ne Tujh Ko Raam Kiya

'Mir' Ke Din-O-Maz.Hab Ko Ab Puchhte Kya Ho Un Ne To
Qashqa Khincha Dair Men Baitha Kab Ka Tark Islam Kiya

Rate it:
Views: 1457
04 Nov, 2019
Related Tags on Mir Taqi Mir Poetry
Load More Tags
More Mir Taqi Mir Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets