Add Poetry

Wo Koi Aur Na Tha Chand Khushk Patte The

Poet: Ahmad Nadeem Qasmi By: abid, khi

Wo Koi Aur Na Tha Chand Khushk Patte The
Shajar Se Toot Ke Jo Fasl-E-Gul Pe Roye The

Abhi Abhi Tumhen Socha To Kuch Na Yaad Aaya
Abhi Abhi To Hum Ek-Dusare Se Bichde The

Tumhare Bad Chaman Par Jab Ik Nazar Dali
Kali Kali Mein Khizan Ke Chirag Jalate The

Tamam Umr Wafa Ke Gunahgar Rahe
Ye Aur Baat Ki Hum Aadmi To Ache The

Shab-E-Khamosh Ko Tanhai Ne Zaban De Di
Pahad Gunjate The Dasht Sansanate The

Wo Ek Bar Mare Jin Ko Tha Hayat Se Pyar
Jo Zindagi Se Gurezan The Roz Marate The

Naye Khayal Ab Aate Hain Dhal Ke Zahan Mein
Hamare Dil Mein Kabhi Khet Lahlahate The

Ye Iratiqa Ka Chalan Hai Ki Har Zamane Mein
Purane Log Naye Aadmi Se Darate The

‘Nadeem’ Jo Bhi Mulaqat Thi Adhuri Thi
Ki Ek Chehare Ke Piche Hazar Chehare The
 

Rate it:
Views: 1430
22 Jan, 2016
Related Tags on Ahmad Nadeem Qasmi Poetry
Load More Tags
More Ahmad Nadeem Qasmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets