Add Poetry

Apni Kismat Ko Fir Badal Kar Dekhte Hain

Poet: Muhammad Asif Ali By: Muhammad Asif Ali, Kashipur

Apni Kismat Ko Fir Badal Kar Dekhte Hain
Aao Muhabbat Ko Ek Baar Sambhal Kar Dekhte Hain

Chaand Taare Fool Shabnam Sab Rakhte Hain Ek Taraf
Mahboob-e-nazar pe Es Baar Mar Kar Dekhte Hain

Jism Ki Bhookh To Roz Kai Ghar Ujaad Deti Hai
Hum Rooh-o-rawan ko Apni Jaan Kar Ke Dekhte Hain

Chhod Dete Hain Kuch Din Ye Faza Ka Muqaam
Chand Roz Is Ghar Se Nikal Kar Dekhte Hain

Loh-e-Fanaa Se Jaana To Fitrat Hai Sabhi Ki
Yaar-e-Shaatir Pe Etivaar Fir Kar Ke Dekhte Hain

Kon Sawaar Hai Kashti Main Kon Jaata Hai Saahil Par
Saat-Samandar Se 'Asif' Guftagu Kar Ke Dekhte Hain

Rate it:
Views: 564
12 May, 2022
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets