Add Poetry

Phool jis tarah chaman ki shaan hai

Poet: Shamsheer Alam By: Shamsheer Alam, Riyadh

Phool jis tareh chaman ki shaan hai
teri har ada ka wohi muqaam hai

Chehra tera chamakte chand jisa hai
Aur zulfeen teri khula hua asmaan hai

Dil mera dhadkta hai sirf tere liye
Zindagi bhi meri ab tere naam hai

Din guzar jata par ratein nahi guzarti
Jo sath ho tera tu har mushkil asaan hai

Muskurahet teri suraj mukhi jisi hai
Aur ankheen teri jaise koie marjaan hai

Sath tere har pal soroor aur khushi hai
Bina tere har gulshan veraan hai

Apka sukriya hamse mohabat kane ka
Yeh bhi apka bht bada ham pe ehsaan hai

Aap ko jo bhi jagah pasand nahi
Hamre liye wo jagah shamshaan hai

Aap ki tareef khtm ho nahi sakti kabhi
Simple words mein aap hamri jaan hai

Rate it:
Views: 883
23 Mar, 2022
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets