Pukarta hoon to janay kahan

Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain woh haath mujh ko bachanay kahan say aatay hain umeed kaisay jazeeray talash karti hai samandron mein thikanay kahan say aatay hain zameen apnay khazanay lutati rehti hai magar zameen mein khazanay kahan say aatay hain sukhan mein kis tarah aatay hain aks khwahish kay nazar mein aaina khanay kahan say aatay hain kahan say aatay hain shakhon peh Barg-o-Gul shajar ko ranng bananay kahan say aatay hain

Latest Islamic SMS Messages