Add Poetry

Aaina Ab Juda Nahi Karta

Poet: Munir Niazi By: Aslam, khi

Aaina Ab Juda Nahi Karta,
Qaid mei hoon rihaa nahin karta,

Mustaqil sabr mei hai koh-e-giraan,
Naqsh-e-ibrat sadaa nahin karta,

Rang-e-mehfil badaltaa rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,

Aish-e-duniyaa ki justujuu mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,

Ji main aaye jo kar guzarta hai,
Tuu kisi ka kahaa nahin karta,

Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khaali rahaa nahin karta,

Ehd-e-insaaf aa raha hai “munir”,
Zulm daayem hua nahin karta..

Rate it:
Views: 950
24 Dec, 2020
More Munir Niazi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets