Add Poetry

Ab Ke Milo Ge To

Poet: khalid talat By: khalid talat, islamabad

Ab Ke Milo Ge To Nazrein Na Mila Pawoo Ge
Guzry Hoye Lamhy Nah Bhula Pawoo Ge

Jaan Jawoo Ge Haqeeqat Meri Chahat Ke
Apni Aankhon Ke Nami Na Chupa Pawoo Ge

Yad Aayen Ge Wo Mosam Wo Raatein Wo Baatein
Apny Jazbaat Ko Tum Na Sambhal Pawoo Ge

Tumhein Choo Kar To Phool Bhi Murjha Jayeen
Apni Ulfat Me Bahaar Na La Pawoo Ge

Chaand Se Hai Roshan Muhabbat Meri
Apni Nafrat Ka Diya Na Dikha Pawoo Ge

Tarap Utho Ge Jaan Kar Mera Dard E Dil
Apny Aangan Me Khushian Na La Pawo Ge

Teri Mehfil Me Jab Chiry Ga Mera Fasana
Apny Honton Ka Larazna Na Chupa Pawoo Ge

Jo Uthawo Ge Janaza Mera Apny Hathon Se
Mere Zikr Par Tum Kabhi Na Muskura Pawoo Ge

Teri Muskaan Se Thi Meri Mehfil Me Ronaq
Apny Dil Se Nishan Mere Na Mita Pawoo Ge

Khatm Howa Ek Baab Muhabbat Ke Ruswayi Ka
Meri Wafa Ka Qissa Kesi Ko Na Suna Pawoo Ge

Kaha Tha Tujh Ko Khalid Na Rog Laga Muhabbat Ka
Befawaon Ke Zulm Se Na Bach Pawoo Ge
 

Rate it:
Views: 983
02 Mar, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets