Add Poetry

Bikhar K Khud Mein Kia Khoub Nibha Laye!

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: Syeda Sadia Amber Jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan.

Bikhar K Khud Mein Kia Khoub Nibhaa Laye
Gardish-Ay-Dora'n Bhi Dushwaar Si Rah Laye

Phir Yaad Ka Uss Ki Sama'n Bandha Hy
Jaye Udaasi Ko Koi Bulaa Laye

Har Bar Tawako Maseehai Ki Tum Say
Har Bar Sitam Tum Say Koi Niyaa Laye

Ay Muhabat! Tera Anjaam Kitna Hy Sitam Gar
Kia Khabar Kia Paya Kia Ganwaa Laye

Kabhi Khud Fareebi Kabhi Hakeekat Ka Tasalsul
Kabhi Ansoo Liye Loutay Kabhi Khud Ko Behlaa Laye

Bohat Taweel Wehshat Ka Yeh Musam Hua Hy
Koi Umeedo'n Ki Zara Shama Jala Laye

Kia Aur Gham Jaa'n Kam Huaye Hain
Roog Muhabat Ka Tum Kaha'n Utha Laye

Intaha-Ay-Ulfat Bhi Intaha-Ay-Shouq Bhi
Dill Mujh Say Bagawat Ki Yeh Kaisi Adaa Laye

Hum Khaak Basar Ahel-Ay-Wafaa Hain Amber
Woh Jo Ahel-Ay-Qasir Hain Koi Un Mein Wafaa Laye

Rate it:
Views: 485
08 Mar, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets