Add Poetry

Chragh ko ! Silai Na Dikhao Dosto

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, Multan

Chragh Ko ! Silai Na Dikhao Dosto
Safar Ki Rah Me Nahi, Parrao Dosto

Har Sung K Liye ! Munsafi Aadarsh Seekh Lo
Jo Reh Gay Hen, Unko Bhi Uthao Dosto

Jis Me Bus Fraib Hon, Fraib Dar Fraib
Kahani Koi ! Esi Bhi Sunao Dosto

Arzu Thi ! Zindgi Ko Saink Loon Zara
Nikal Gya Hai ! Ab To Ye Bhi Chao Dosto

Main Be'hissi K Chaqu Se, Lab Chheel Rha Hun
Acha Shugal Hai, Dekhne Aa Jao Dosto

Jitne Zakhm Dene K, Tum Dawe Daar Thay
Utna To Nahi Aa Saka, Rachao Dosto

Ehsan Tum Ne Youn Kiye, Bazaar E Amal Me
Sharm Ka Dekho ! Gir Gya Hai Bhao Dosto

Rasm E Chal Chalao Ka, Ba'zaabta Elaan
Elaan Hai ! K Teer Ab Chalao Dosto

Dosti Ki Laash Ki, Be Hurmati Na Ho
Khuda K Liye ! Kafan To Pehnao Dosto

Aaj Bhi ! Bashar Wohi Bikau Maal Hai
Daur E Yousaf ! Aaj Bhi Dohrao Dosto

Razab Ko Bohat Zaum Hai ! Khaloos E Zaat Par
Razab Ko Zra ! Aankh Se Girao Dosto

Rate it:
Views: 469
05 Jan, 2013
Related Tags on Friendship Poetry
Load More Tags
More Friendship Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets