Add Poetry

Duaen, Aarzo, Teray Hi Armaan Rakhtay Hain!!

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan.

Duaen Aarzo Teray Hi Armaan Rakhtay Hain
Teray Lout Aanay K Barray Imkaan Rakhtay Hain

Meri Wehshat Mera Jano'n Be-Sabab Kuch Nahi
Barray Asbaab Mujhay Aksir Pareshaan Rakhtay Hain

Barray Hi Maher Hain Log Afsaanay Bananay Mein
Tumharay Samnay Khud Ko Tabi Anjaan Rakhtay Hain

Itni Be-Rukhi Bhi Wajib Nahi Tum Par
Chalo Kuch Nahi Magar Kuch Pehchaan Rakhtay Hain

Sochtay Hain Bhoola Den Hum Bhi Tumhen Magar
Mushkil Hai Tum Mein Apni Jaan Rakhtay Hain

Kon Kathan Rahun Mein Humsafar Banta Hai
Muhabat Bhi Log Zara Asaan Rakhtay

Sitamgari Mein Bhi Itna Yaad Rakhna Tum
Saabir Bohat Hum Magar Jaan Rakhtay Hain

Ussay Bhi Yaad Ho Shayed Meri Tarah Amber
Zaraf Walay Humaysha Yaad Ehad-O-Paymaan Rakhtay Hain
 

Rate it:
Views: 292
30 Dec, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets