Add Poetry

Mei Fir B Azaad Hoo

Poet: Purki By: M.hasan, Karachi

Mei Azaad Hoo
Dekho Merey Tun Pe Kapra B Nahi
Merey Pait Met Roti B Nahi
Muje Pherney Ka Shooq Bohot Hey
Magar Meri Jaib Mei Ek Sikka B Nahi
Mei Fir B Azaad Hoo

Beemar Hoo Mei Kb Sey
Koi Poochta Hi Nahi Muj Sey
Maa'n Baap Mer Gaye Jb Sey
Footpath Pe Para Hoo Kb Sey
Mei Fir B Azaad Hoo

Mera Yahaa'n Koi Nahi Hey
Kia Ye Islami Falahi Mumlikat Hey
Janwaroo K B Haqooq Hotey Hein
Per Yahaa'n Insanoo Ka B Pursan-E-Haal Nahi Hey
Mei Fir B Azaad Hoo

68 Sal Meri Umr Hogayee Hey
Jo B Aata Hey Pakistan Ka Nara Lagata Hey
Or Apni Apni Jeibein Bher Bher K Jata Hey
Mery Nam Pe Khoob Khoob Shikar Khelta Hey
Apney Ahlo Iyaal Ko Dunya Ki Sair Karata Hey
Fooj Der Fooj Beroon-E- Mulk Jata Hey
Qoomi Khazaney Ko Khoob Choona Lagata Hey
Mei Fir B Azaad Hoo

Lamha Ba Lamha Mei Barbad Ho Raha Hoo'n
Din Ba Din Mei Reza Reza Ho Raha Hoo'n
Ku Ba Ku Lahoo Lahaa'n Ho Raha Hoo'n
Sal Ba Saal Be-Jan Ho Raha Hoo 'N
Bal Bal Qarzoo Mei Doob Raha Hoo'n
Mei Fir B Azaad Hoo

Merey Log Under Se Mer Rahe Hein
Sisak Sisak Kr Jee Rahe Hein
Koi In K Dukh Dard Ko Janta Nahi
Janey B To In Ka Koi Madawa Nahi
Koi In Pe Marham Rakhney Wala Nahi
Mei Fir B Azaad Hoo

Na Nalkoo Mei Pani Ki Rawani Hey
Na Taroo Mei Bijlee Ki Rawani Hey
Jaga Jaga Badbu Ki Farawani Hey
Maheeney K Aakhir Mei Biloo Ki Rawani Hey
Bill Bharaney K Ilawa In Ka Koi Kam Nahi Hey
Mei Fir B Azaad Hoo

Galee Galee Badmashoo Ka Raaj Hey
Bhatta Khooree Or Seena Zori Aam Hey
Koi Subah Ko Koi Sham Ko Lut-Ta Hey
Qanoon Ki Aankhein Andhee Hein
Sarey Forces In K Sathee Hein
Mei Fir B Azaad Hoo

Azadee Ka Jashan Mananey Waloo
Raat Bher Goolian Chalaney Waloo
Berqee Qamqamey Jalaney Waloo
Oonchey Jhandey Laganey Waloo
Halla Gulla Karney Waloo
Aas Pas Ka Sukoon Barbad Karne Waloo
Quran K Furman Ka Hi Kutch Lihaz Kerloo
Mei Fir B Azaad Hoo

Quran Ka Furman Hey Ek Ho Jaa
Ek Ho Kr Dushmanoo Ki Moot Ho Jaa
Dushman Kon Hey Ye To Samaj Jaa
Jo Hum Ko Taqseem Karey Us Ko Bhaga Jaa
Mei Fir B Azaad Hoo
 

Rate it:
Views: 1007
17 Aug, 2015
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets