Add Poetry

Wah Kia Tehwar Hai Basant

Poet: Zohaib Hassan By: Zohaib Hassan, Karachi

Wah Kia Tehwar Hai Basant
Khushion Ka Tehwar Hai Basant
Nai Mausam Ki Aamad Hai Basant
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Ujle Ujle Rung Har Taraf
Khushaian Hi Khushian Har Taraf
Bo Kata Ki Sadain Har Taraf
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Patangain Rung Birangi Jahan Dekho
Logon Ka Hai Hujoom Jahan Dekho
Har Koi Masti Main Mast Jahan Dekho
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Koi Chat Se Gir Raha Hai
Koi Dor Se Kat Raha Hai
Kahin Beemar Mar Raha Hai
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Koi Khushi Se Jhoomta Hai
Koi Maut Pe Afsurda Hai
Kahin Matam Kahin Jashan
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Sari Sarkain Sari Gliyan
Hain Khoon Se Rangi Hui
Har Doosra Hai Qatil
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Kayeon Ke Lakht-E-Jigar Gaye
Kayi Mangain Ujar Gayeen
Kitne Hi Hue Yateem
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Dekho Islami Riyasat Ka Haal
Na-Mehram Se Nahin Parde Ka Khayal
Fuhashi Hai Is Mausam Main Aaam
Wah Kia Tehwar Hai Basant

Hota Nahin Aisa Koi Bhi Tehwar
Hamara Nahin, Auron Ka Hai Yeh Tehwar
Khushi Ka Nahin, Lashon Ka Hai Mausam
Kaisa Tehwar Hai Basant

Rate it:
Views: 2331
05 Apr, 2008
Related Tags on Occassional / Events Poetry
Load More Tags
More Occassional / Events Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets