Add Poetry

Jurm

Poet: Nigah e zainab ansari By: Nigah e zainab ansari, Sukkur

Nafsi Khuwahishat Ko Muhabbat Ka Naam Dena Jurm Hai
Hawas Ko Ishq Kehnaa Jurm Hai 

Mana K Log Behek Jaate Hein Is Kathin Safar Mein
Khud Ko Khudse Behkana Bhi Aik Jurm Haii 

Na Ho Chahat To Jhuti Muhabbat Bhi Hai Gunnah
Muhabbat Meyn Logon Ko Tabah Krna Jurm Hai

Kya Itna Asaan Hai Kisi Ko Kisi K Liye Chor Dena?
Jism Na Milney Pr Dagha Dena Bhi Jurm Hai

Tumhari To Guzarti Hai Raatein Har Nayii K Sath
Har Raton Me Unko Jhute Wadon M Bandhe Rkhna Jurm Hai

Parda Hata Hai Tere Chehre Se Phr B Kehta Hai K Tjhy Pyar Hai
Is Jaali Bandhan Ki Jhuti Kasmein Khana Bhi Jurm Hai
 

Rate it:
Views: 639
02 Jul, 2020
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets