Add Poetry

SHAGUFTA

Poet: Sir Shok By: junaid Ellahi, Multan

Khai Then Jhooti Qasmen Mere Sath kis Liye
Tu Reh Na Saki Chand Din Bhi Aur Sathi Bana Liya

Gairat k Naam Par Bhi Mar Jate Hain Log
Ye Kis Ne Tere Wajood Mein Pani Mila Diya

Rehta Tha Jis Phool Mein Pakizagi ka Jall
Tu Ne kioun Usse Sharab ka Aadi Bana Liya

Takmeel ki Tamana Har Zeh Rooh Mein Hoti Hai
Tu Ne To Har Maidan Mein Jhanda Garda Liya

SuQraat Aur BuQraat k Qayd e Qanoon Talaf
Tu Ne To Do Dino Mein Hi Jalwa Dekha Diya

Jis k Khoon o Jigar se Sainch k Tu Shagufta Hal Hai
Tu Ne Ussi Apne Yaar ka kaileja Chaba Diya

Jo kaat kaat khaye Ga teri Apni Hi Jaan Ko
Tu Ne Ussi Haiwaan ko kiun Apna Bana Liya

Pehle Daitee Zehar Aur Phir Arrthi ko Lagati Aag
Tu Ne To Sir Shok ko Zinda Jala Diya

Rate it:
Views: 1019
07 Apr, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets