Add Poetry

Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahi Raha

Poet: Javed Akhtar By: Zaid, Hyderabad

Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahi Raha

to shukr kijiye ki ab koi gila nahi raha

na hijr hai na wasl hai ab is ko koi kya kahe

ki phul shakh par to hai magar khila nahi raha

khazana tum na pae to gharib jaise ho gae

palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahi raha

badal gai hai zindagi badal gae hain log bhi

khulus ka jo tha kabhi wo ab sila nahi raha

jo dushmani bakhil se hui to itni khair hai

ki zahr us ke pas hai magar pila nahi raha

lahu mein jazb ho saka na ilm to ye haal hai

koi sawal zehn ko jo de jala nahi raha

Rate it:
Views: 515
19 Jan, 2021
Related Tags on Javed Akhtar Poetry
Load More Tags
More Javed Akhtar Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets