Add Poetry

Apna Khaka Lagta Hoon

Poet: Jaun Elia By: bisma, khi

Apna Khaka Lagta Hoon
Ek Tamasha Lagta Hoon

Aaieno'n Ko Zang Laga
Ab Mein Kaisa Lagta Hoon

Ab Mein Koi Shakhs Nahi
Uska Saya Lagta Hoon

Sare Rishte Tishna Hain
Kya Mein Dariya Lagta Hoon

Us Se Gale Mil Kar Khud Ko
Tanha Tanha Lagta Hoon

Khud Ko Mein Sab Ankho'n Mein
Dhundla Dhundla Lagta Hoon

Mein Har Lamha Us Ghar Se
Jane Wala Lagta Hoon

Kya Hue Wo Sab Log K Main
Sona Sona Lagta Hoon

Maslihat Is Mein Kya Meri
Toota Phoota Lagta Hoon

Kya Tumko Is Haal Mein Bhi
Mein Duniya Ka Lagta Hoon

Kab Ka Rogi Hoon Waise
Sheher-e-Maseeha Lagta Hoon

Mera Taalu Tar Kar Do
Sach Much Piyasa Lagta Hoon

Mujhse Kama Lo Kuch Paise
Zinda Murda Lagta Hoon

Mein Ne Sahe Hain Makar Apne
Ab Bechara Lagta Hoon

Rate it:
Views: 3037
30 Aug, 2019
Related Tags on Jaun Elia Poetry
Load More Tags
More Jaun Elia Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets