Yehi Wafaa Ka Silaah

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Latest Ghazal SMS Messages