Jazz Sim Ka Number Kaise Nikale

Agar aap Jazz SIM user hain aur aap maloom karna chahte hain ke apni Jazz SIM ka number kaise nikale, toh ye bohat asan hai! Pakistani Jazz users apni SIM ka number maloom karne ke liye bohat se mukhtalif tarike istemal kar sakte hain. Pir chahe aap ko apna SIM number hi kyun na yaad ho, neeche diye gaye asan tarikon se app Jazz SIM ka number check kar sakte hain.

Jazz Sim Ka Number Maloom Karne Ka Tarika

Sab se asan tarika, agar aap kisi bhi lambe procedure ko follow nahi karna chahte toh yeh tarika istemal karein or apna Jazz SIM ka number note karlien:

Dial Code Se Check Karna:

  • Apne mobile ka dial pad open karein.
  • Aur Jazz number check code *99# dial karein.
  • Aapke screen par aapka Jazz number show ho jayega.

Jazz Customer Care Se Maloom Karna:

  • Ya pir, Jazz helpline 111 par call kare aur apni SIM ki tamam tafseelat hasil karlein.

Jazz World App Ka Istemal:

  • Agar aap ke paas internet connection ya WiFi hai, toh apne phone ke App Store par ja kar Jazz World App download karein.
  • Pir apne Jazz number se App mein login karein.
  • Wahan aapko apna registered Jazz number mil jayega.

Jazz Sim Ka Data Kaise Nikale?

Agar aap ko Jazz SIM ka data maloom karna hai or aap nahi jante ke Jazz SIM ka data kaise nikale, to yeh tarika aap try kar sakte hain:

  • Jazz World App Ke Zariye: Apne data, call aur SMS history check karne ke liye aap Jazz World App ka istemal karein.
  • SMS Ke Zariye Maloom Karna: Apna Jazz data balance check karne ke liye MB likh kar 1172 par message send karein.
  • USSD Code Se Data Maloom Karna: *1174# dial karein aur apne available data MBs maloom karein.
More Call Packages
View More