Mobile Chori Ya Chin Jaye To Kya Kare

Mobile phone hamari zindagi ka aik laazmi hissa ban rahay hain. Hamaray roz marrah ke kam phone ke baghair anjaam dena ab taqreeban namumkin hai. Log mukhtalif social media plate forms aur apps ke aadi hain yahan tak ke mukhtalif updates check karne ke liye apne pyaron ke sath raabtey mein rehne aur un ke sath baat cheet karne ka mobile phone ek eham channel hai. Lekin agar aap ka mobile chori ya chin jaye to kya kare yeh sawal ajkal both aam hai. Karachi ke halat dekhty huye yeh informative content bnaya gaya hai jo apki madad kary gay eh janny mai k what should you do if your phone is stolen.

Apne phone ko fori tor par block kar den

Apne pasword tabdeel karen

Mobile Chori ki complaint karain

Phone Block Karney Ka Tareeka:(Chori hoye Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye)

Apne mobile ki report / block karne ke liye darj zail tareeqon se apni shikayat pta ke paas darj kar satke hain:

0800-25625 Dial karkay help line par cal kar saktay hain

PTA par emil bhaij satke hain : imei @ pta. gov. pk

Ap PTA head quarter ya qareebi pta zonal office bhi ja satke hain

Apne gumshuda mobile ki shikayaat darj karanay ke liye citizen policecommittee (CPLC) ki help lines : 1102, 021-35662222 aur 021-35682222 par bhi rabita kar satke hain

More Others
View More