Ab Kis Se Kahen

Ab kis se kahen or kon sune jo haal tumhare baad huwa Is dil ki jheel si aankhon mein ik khuwab bohot barbad huwa Ye hijar hawa bhi dushman hay us naam ke saare rangon ki Wo naam jo mere honton per khushbu ki tarah aabad huwa Us sheher ke kitne chehre thay kuch yaad nahi sab bhool gaye Ik shakhs kitabon jesa tha wo shakhs zabani yaad huwa Wo sab jhoote qasmein wadey thay dil jin mein khush ho jata tha Ab is se farq nahi parta na-shaad huwa ya shaad huwa Be-naam staish rehti thi in gehri sanwli aankhon mein Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad huwa Gha is my life

Latest Sad SMS Messages