Dar E Nabi Par Para Rahoon

Dar-e-Nabi Par Para Rahoon Ga Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga

Latest Dua SMS Messages