Gazal

Gazal Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain sirf aansu jahan insaan k kaam atay hain unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak teray dar se wohi be neel maraam aatay hain munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel! un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.

Latest Ghazal SMS Messages