Hazrat Ibraheem As Ko

Hazrat Ibraheem A.S ko jab aag mein jalaya jane laga or aag bharkai jane lagi tou ye sara manzar ek CHIRYA dekh rahi thi.Uss ne qareebi samandar se paani la kar uss aag ko bujhane ki koshish ki. Subha se Sham hogai magar aag na bujhi.Chirya k es kaam ko ek Kaw'wa dekh rha tha.Uss ne chirya se kaha."Jab tmhe pata tha k ye aag nhi bujhe gi tou phir itni mehnat kyun kr rhi ho?" Chirya ne jawab dia"Main apne hisse ki mehnat kr rhi thi ta k Qayamat k din Allah Ta'la k han jawab de sakun k main ne sachhai ki rah mein apna hissa dala hai."

Latest Islamic SMS Messages