Ek Phone Me 2 WhatsApp Kaise Chalaye - How To Use 2 Whatsapp Accounts In One Phone?

Agr Ap Aik Phone Me 2 Whatsapp Istemal Karna Chahtay Hain To Hamari Is Step By Step Guide Ko Follow Karein.

Whatsapp Aj K Zamanay Me Har Insan Ki Zarurat Hai, Khwah Ap Student Hon, Businessman Hon, Housewife Hon, Ya Zindagi Kay Kisi Bhi Shobay Se Talluq Rakhte Hon. Whatsapp Is Daur Me Messaging, Calling, Pictures, Videos, Aur File Sharing Ke Liye Aik Behetreen Application Hai. Aksar Log Jo 2 Numbers Rakhnay Kay Aadi Hain Ya Jo Apna Private/Family Aur Official/Business/Friends Ka Number Alag Rakhtay Hain Unhe 2 Whatsapp Accounts Rakhnay Ki Zarurat Mehsoos Hoti Hai. 2 Whatsapp Istemal Karnay K Liye Do Smartphones Khareedein Ya Apne Pas Rakhain.

Kisi Bhi Android Phone Me Ap 2 Whatsapp Accounts Aik Sath Istemal Karsktay Hain. Iska Sub Se Aasan Tareeqa Hum Yahan Apke Sath Share Karenge Taakay Ap Usay Apni Aasani Ki Liye Baru-E-Kaar La Sakain.

Dual Whatsapp:

• Is Method Ko Follow Krne K Liye, Agar Ap K Pas Whatsapp Install Nhe Hai To Pehle Usay Google Playstore Pe Jaa Kr Install Kr Lein.

• Whatsapp Install Hone Ki Soorat Me Apne Phone Ki Settings Me Ja Kr Dual App / Clone App / App Twin Ya Twin App Naam K Feature Ko Talash Krein.

• Jb Apko Ye Feature Nazar Ajaye To Isay Tap Krne Par Ap Dekh Payenge K Is K Zariye Ap Whatsapp, Facebook, Messenger Aur Instagram Samet Aur Bhi Kayi Apps Ka Clone Bana Skte Hain.

• Whatsapp Pe Tap Krein Aur Isay Clone Banany K Liye Toggle Krein.

• Ab Apke Pas 2 Whatsapp Mojood Hain, Aik Primary Aur Aik Secondary.

• Ap Dono Whatsapp Beyak Waqt Istemal Karskte Hain Aur Dono Par Alehda Alehda Numbers Register Kar Skte Hain.

Agr apke phone me Dual App / Clone App ka feature pehle se mojood nhe to ap is hi naam ki App Google PlayStore se bhi download krskte hain. Apko Ye Tareeqa Karamad Laga To Comments Me Apni Raaye Ka Izhaar Karein Aur Mazeed Mobile Info, Tips Aur Tricks Ke Liye Hamariweb K Sath Juray Rahiye!

More Tips & Tricks
View More