Mobile Ko Garam Hone Se Kaise Bachaye
Mobile Ko Garam Hone Se Kaise Bachaye – Kisi Bhi Handset Ka Chahe Wo Smartphone Ho Ya Bar Phone Garam Hona Ek Aam Sa Masla Hai Jis Pe Aksar Mobile Users Pareshani Ka Shikar Rehte Hain. Yaha Hum Aap Ko Kuch Aesi Tips Dete Hain Jo App Ko Is Pareshani Se Nijat Dila Sakti Hai Aur Hum Jaan Sakte Hain Kai Apnay Mobile Ko Garam Hone Se Kese Bachaya Ja Sakta Hai.
Kisi Bhi Mobile Phone Device Ko Agar Hum Over Use Karen Tou Us Me Garam Hone Ki Shikayat Aati Hai Jesa Kai Koi User Apne Smartphone Me Internet Data Ka Bhut Istemal Karta Hai Us Kai Phone Me Ye Shikayat Aksar Aati Hai Yaha Tak Kai Bluetooth Aur Bhut Si Google Play Store Se Download Ki Gayi Apps Use Karne Se Bhi Ye Shikayat Aati Hai. Kuch Users Apne Smartphone Me Bhut Se Games Download Karte Hain Jis Ki Waja Se In Ki Device Me Garam Hone Ki Shikayat Aati Hai.
Aesi Surat Me Agar Kisi Smartphone Me Ye Shikayat Hona Shuru Ho Jaye Tou User Ko In Hidayaat Ko Follow Karna Chaheay.
1. Apne Smartphone Ki Setting Me Ja Kai Application Manager Se Kuch Apps Delete Karen
2. Apne Smartphone Ki Brightness 50% Se Zayada Na Karen
3. Agar Aap Ka Phone Wifi Se Connect Rehta Hai Tou Apne Phone Ka Wifi Zarurat Kai Waqt Hi Open Karen
4. Agar Aap Ko Apne Smartphone Se Photos Lene Ka Shouq Hai Tou Apne Smartphone Ki Camera Setting Se Camera Resolution Aur Environmental Temperature Ko Normal Rakhen
5. Apne Smartphone Se Kisi Bhi Qisam Ki Camera App Ko Delete Karen
6. Agar Aap Ke Smartphone Me Koi Anti.Virus App Download Hai Tou Us Ko Bhi Delete Karen
7. Is Kai Elawa Kuch Smartphone Users Apne Phone Ko Charging Plug Pe Laga Kai Kafi Dair Kai Lye Laga Rehne Dete Hain, Aesi Surat Me Bhi Over Heating Ki Problem Aati Hai
8. Agar Aap Ki Device Me Garam Hone Ka Issue Hai Tou App Ko Chaheay Kai Apne Phone Ko Kabhi Bhi 100% Charge Nahi Karen
Umeed Hai In Instructions Ko Follow Kar Ke Aap Apne Mobile Kai Over Heating Issue Ko Resolve Kar Sakte Hain Aur Jin Devices Is Issue Ka Shikar Hain Un Ki Life Barha Sakte Hain.