Nasir Kya Kahta Phirta

'Nasir' kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai, diwana hai diwane k munh na lago to behtar hai kal jo tha wo aj nahi, jo aj hai kal mit jayega, rukhi-sukhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu, nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye rat bahut kali hai 'Nasir' ghar main raho to behtar hai...!!!

Latest Ghazal SMS Messages