Sabhi Jazbat Khyalat Badal

Sabhi jazbat khyalat badal jaty hain Yun mohabbat mein ye din raat badal jaty hain Pyar to un ko bhi hami sy hy magar jany kyun Ham karain baat to woh baat badal jaty hain. Aarzo to hai k izhary mohabat kar doon ! Lafz sunta hoon to lamhat badal jatey hain. Kitni nafrat thi kabhi pehley mohabat sy hamin.. Ho mohabat to khayalat badal jaty hain, Aik sa waqt mohabat mein kahan rehta hai Gardish-e-Waqt sy halat badl jatey hain.

Latest Ghazal SMS Messages