Tumhare Shehar Ka Mausam

Tumhare shehar ka Mausam bara suhana lage Mein ik sham chura lon agar bura na lagay! Jo doobna hai to itne sakoon se dubo Keh aas pas ki lehron ko bhi patah na lage Tumhare bas mein agar ho to bhool jao hamein Tumhein bhulane mein shayad hamein zamana lage Na jane kia hai kisi ki udas aankhon mein Woh munh chupa ke bhi jaye to be wafa na lagay Hamare pyar se jalne lagi hai ik dunya Dua karo kisi dushman ki bad dua na lagay

Latest Weather SMS Messages