Wafa Ruswa Nahi Karna

Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna, Mien Pehley he akela hoon mujhey tanha nahi karna Judai bhee jo aa jaye to dil chota nahi karna Bohot masroof hoon jana mujhey socha nahi karna Bharosa bhee zaroori hey magar sab ka nahi karna Muqadar phir muqadar hey kabhi dawa nahi karna Jo likha hey wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna Meri takmeel tum sey hey mujhey aadha nahi karna Haqeekat hey Milan apna isey sapna nahi karna Hamein tum yaad rehtey ho hamein bhoola nahi karna

Latest Decent SMS Messages