Wo Sunta To Main

Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha, wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha. kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di, mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha. kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di, usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha. meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya, waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha. rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main, usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha. ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna, kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.

Latest Ghazal SMS Messages