Aik Shehar Mein Aik Bacha Rehta
Tha Wo Parhne Mein Bohut Hoshiyar Tha. Koi Kitab Uski Aankhon Ke Samne Aesi Nah
Thi Us Ne Nah Padhi Ho. Jitna Wo Bada Hota Gaya Utne He Us K Dost Bante Gaye. Wo
Jo Chahta Use Mil Jata Tha. Barre Ho Kar Wo Apne Ma Bap Ka Nam Roshan Karna
Chahta Tha Kuch Banna Chata Tha. Phir Us Ne Civil Engineer Banne Ka Faisla Kiya.
Woh Apne Ma Bap Ko Mehnat Mazdoori Ki Zindagi Se Nikal Kr Sukun Bhari Pur Asaish
Zindagi Dena Chahta Tha. Kafi Mehnat Or Lagan Se Padhne Ke Bad Aik Din Aisa Aya
K Wo Civil Engineer Ban Gaya Aur Degree Us K Hath Mein Agayi Us Din Us Ki Khushi
Ka Koi Thikana Nahi Tha Ab Wo Apne Ma Bap Ka Sahara Ban Sakta Tha Usne Jobs K
Liye Apply Karna Shru Kar Diye Aur Yahan Bhi Iski Qismat Ne Khoob Sath Dia Aur
Bohut He Kam Arse Mein Uski Dubai Mein Job Ho Gayi. Wo Foran Se Bhi Pehle Dubai
Jana Chahta Tha Lekin Us K Pas Ticket K Pese Tak Nahi The. Phir Uske Dada Ne Use
Ticket K Pese Diye .Ab Wo Aik Achi Zindagi Guzar Raha Tha Jo Bhi Salary Use
Milti Wo Apne Ghar Bhijwa Deta.Lekin Apne Future Ke Liye Usne Koi Sevings Nhi Ki.
Phir Kuch Arse Bad Gher Walon Ne Uski Or Apni Sevings Se Gher Banwa Liya.Woh
Gher Pese Bhejta Rehta Or Yahan Sab Khushi Se Zindagi Guzarte Rahe. Phir Us Ne
Shadi Krne Ka Faisla Kiya.Woh Jald Az Jald Shadi Krna Chahta Tha.Or Kafi Kam
Arse Me Usne Shadi KR Li. Usne Apni Biwi Se Kaha K Jab Mein Job Par Dobara Dubai
Jaon Tou Tum Apni Ami K Ghar Chali Jana. Uski Biwi Chali Gayi Ab Uska Dubai Mein
Bilkul Dil Nahi Lagta Tha Wo Pakistan Ana Chahta Thaor Ak Din Woh Dubai See Sab
Chod Kr Wapis Ghr Apni Biwi K Pas A Gaya.Galat Faislo Ne Uski Zindagi Ajeeran
Kardi. Aj Zindagi Mein Sab Kuch Hai Us K Pas Biwi Bache Lekin Phir Bhi Aik Job
Ki Khali Jaga Hai Samandar Ki Lehrein Us K Armano Ko Baha Le Gayi. Lekin Himat
Aur Hosla Agar Buland Kar Liya Jaye Aur Waqt Rehte Theek Faisle Kar Liye Jayein
Tou Zindagi Khoobsurat Hojati He. Us K Liye Lekin Us K Galat Faislo Ne Uski
Zindagi Ko Aik Aisi Andheri Jaga Bhej Dia Jahan Se Wapsi K Liye Use Gir Gir K
Uthna Parrrga Himmat Aur Hosla Lana Hoga Aur Sath Sath Apne Piyare ALLAH Se
Shukar Baja Lana Hoga K Jo Kuch Hua Wo Us K Haq Mein Behter Hai Aur Age Use
Khush Reh Kar Aur Dosro Mein Khushiyan Bant Kar Apne Ap Ko Mutmain Karna Hoga
Kiyunki Dunia Gham Zada Logo Pe Has Ti Hai Agar ALLAH Ne Chaha Tou Tofan Tham
Jayega Aur Wo Aik Din Achi Job Hasil Kr Lena Ga