Jinn Or Insan
(Afshan Rahman, Chicago usa)
                Hum Tv Per Morning Show Dekha 
Jo Jinn Keh Baare Mein Hoowa Tha.Kiren Or Fahad Ne Kuch Logon Se Interwiew Kia 
Tha Kuch Logon Ke Phone Bhi Aae Thay.Ek Sahiba Ne Phone Kia Or Waqea Sonna Ya 
Keh Woh Jinn Keh Saath Rehtee Hein Jub Kafi Der Tak Khatoon Story Sonna Raee 
Theen Kiren Ki Der Ker Tabiat Kharaab Hogaee Or Woh Water Mangne Lageen To Fahad 
Ne Break Lia Or Baat Adhree Reh Gaee Sab Se Pehlee Baat Keh Jinnat Ka Zeeker 
Koee Chotee Baat Nahi Hay Yeh To Al Quran Mein Allah Tallah Ne Fermayya Hay Keh 
Hum Ne Jinn Or Insaano Ko Apni Ebadet Keh Lia Peda Kia Hay Goyya Jiin Ka Ziker 
Insaan Keh Saath Saath Kia Gayya Hay.Jinn Keh Naam Se Ek Der Sa Hotta Hay Kioon 
Keh Yeh Maqlooq Zaher Naee Hay Chupee Howee Hay .Jinnat Mein Ache Or Boore Hote 
Hein Jis Terha Insanon Mein Bhi Ache Boore Hein .Mene Bhi Ek Waqiaa Sonna Tha 
Keh Mere Tayya Keh Gher Per Bhi Jinn Rete Thay Meree Tayee Ammi Ne Mujhe Story 
Sonaee Thee Ek Din Woh Kitchen Mein Cooking Keraee Theen On Ko Awaz Aee Keh 
Mujhe Khanna Dedo Onon Ne Ktichen Se Baher Jaraee Theen To Ek Long Sa Insaan Ki 
Terha Aadmi Dekha Woh Der Gaeen.Phir Akser On Ko Nazer Aane Laga Ek Din Kuch 
Powder Sa Laker On Per Dalla.Kabhi Raat Ko Chalne Ki Awazen Atee Then.Karachi 
City Mein Ab Bhi Log Jiin Ke Waqae Sonate Hein .Ek Islamic Center Mein Teacher 
Ne Bataya Keh Aetal Kursee Perh Ker Surah Jinn Ki Pehlee 5 Ayat Perhne Se Jiin 
Ka Aser Jatta Hay.Canada Mein Bhi Ek Women Per Jiin Ne Qabza Kiaa Tha Newspaper 
Mein Waqya Ayya Thaa.Tv Shows Log Bhut Shoq Se Dekhte Hein Lehza Woh Programme 
Ko Compelete Kerne Ki Zarroret Hay Pehle Kiren Ko Ese Programme Ke Lia Ready 
Kernee Chae Thee.Wese I Like Scary Movies.Jab Bhi Gher Mein Dakhil Hoon Salaam 
Zaroor Karen Or Kalma Perna Chae Or Muslim Ban Jao Yeh Bhi Kehna Chae Ager Jinn 
Sun Rae Hein To Shaed Woh Bhi Muslim Hojae Or Logon Ko Nukhsaan Na Ponchae.Jago 
Pakistan Jago Ye Morning Show Bhut Acha Jaraha Hay .Khuda Kare Jiinat Ka 
Programmes Ko Compelete Dekhayya Jae.Taake Log Ko Faeda Ho Or Jiin Ka Der Na 
Rahe. Ameen.