Maa Ka Akhri Khat...

(Anum Laique Ahmed, karachi)

Ahmed Apni Maa Ka Eklota Beta Tha..2 Sal Ka Tha Jab Uske Walid Ek Hadse May Apni Jaan Se Hath Dho Bethe...Bohat Mushkil Se Ahmed Ki Maa Ne Uski Parwarish Ki...Ahmed Ko Ache School May Parhaya Likhaya..Uski Tamam Zaruraten Puri Ki...Or Sath Sath Uski Tamam Tar Khwahishon Ka Khayal B Rakha..Kyun K Wo Apni Maa Ka Akhri Sahara Tha...

Ahmed Bachpan He Se Mulk Se Bahar Jane K Khawab Dekha Karta Tha Or Aj Wo Din Tha Jab Uska Khawab Pura Honay Jaraha Tha..Ahmed Aj Bohat Khush Tha Uske Hath May Ek Mithai Ka Dabba Tha Jisay Lekar Wo Apni Maa K Pas Aya Or Unhe Bataya..K "Ammi Apki Dua Se Mera Khawab Pura Hogya Mujhe Dubai May Job Milgai Hai..Aj Meri Khushi Ka Koi Thikana Nahi Hai Ammi"Uski Maa B Uski Khushi May Khush Hogai..Bechari Ye Nahi Janti Thi K Ahmed Usse Door Honay Jaraha Hai...

Akhir Kar Bete Ko Rukhsat Karne Ka Waqt Agya..Or Ahmed Jate Jate Apni Maa Ko Ek Falahi Idaray May Chor Gaya..Uski Maa Apne Bete Ki Khushi K Agay Ek Lafz B Na Kah Saki ...

Ahmed Sal May Ek Dafa Akar Apni Maa Se Mil Jata Tha Usne Wahan Shadi Karli Or Apna Ghar Basaliya..Jab B Milne Ata Tha Uski Maa Ek He Bat Kahti..Beta..!! Tu Khush Haina??? Beta Mujhe Teri Bohat Yaad Ati Hai...Aray Beta Mera Ek Kam To Karde ?Yahan Ek Pankha Lagwade Mujhe Bohat Garmi Lagti Hai ...Or Ahmed Unki Baat Ko Ansuni Kar K Unse Bad Kalami Kar K Chala Jata Tha K Ammi Mere Paas Time Nahi Hai ...
Ek Din Uski Maa Isi Garmi May Apna Dum Torgai..........
Or Ahmed K Naam Apna Akhri Khat Chor Gai.....

"Beta ..Tu Mujhe Bhool Gaya? Tu Ne Mujhe Ek Sawari Ki Tarhan Istemal Kiya..Jb Tu Apni Manzil Par Phonch Gya Tune Mujhe Kachre K Dhayr May Phaynk Diya?Maine Tujhe Isliye Bolna Sikhaya Tha K Tu Mujhse Bad Kalami Kare?Isliye Tujhe Chalna Sikhaya K Tu Mujhe He Chor K Chalde?Isliye Tere Payron Ko Malish Kar K Mazboot Banaya K Inhi Payron Se Tu Mujhe Thokar Marde?Chal Jo Hua Usay Bhul Jaa..Maa To Hamesha Aulad Ko Dua He Deti Hai..Aur Han Main Jo Tujhse "Pankha"Lagwanay Ki Baat Karti Thi Na ...Wo Apne Liye Nahi Thi Beta Usmay B Teri He Bhalai Thi....

"Main Ye Nahi Chahti K Kal Ko Jab Teri Aulad... Tujhe Yahan Chor Jay... To Tu Meri Tarhan Aziyat May Apna Dum Tor De........"

Please Apni Maa Ki Qadar Kijye...Kyun K Maa Aesi Hasti Hai Jo Marne K Baad B Apni Aulaad K Liye Duaa Karti Hai...

Anum Laique  Ahmed
About the Author: Anum Laique Ahmed Read More Articles by Anum Laique Ahmed: 5 Articles with 21586 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.