Add Poetry

Tanhai

Poet: Saba By: Saba, multan

Samajh Nahin Ata Shuru Kahan Say Karun
Main Zindagi Say Karun Ya Kau Zindagan Say Karun
Mera To Koi Bhi Maqsade Hayat Na Tha
Koi Khushi Na Thi Ya Wajoode Dard Na Tha
Bilawajha Hi Shamo Seher Guzartay Thay
Magar Achanak Bohot Kuch Badl Gya Logo
Main Jee Utha Laga Kay Koi Khwab Dakha Hai
Laga Kay Sat Rangun Ka Ik Dhanak Ankhun Main Phirta Hai
Laga Kay Un Chowi, Narm Si Hawa, Choo Kay Guzri Hai
Main Is Tabdeeliyay Dil Pay Bohot Hairan To Tha Par!
Khushi Ko Kho Danay Kay Dar Say Parashan Bhi Tha
Dosri Taraf Is Khushi Ki Wajha Jan Kar Sakta Bhi Taree Tha
Meray Khuda! Is Sab Kay Pichay Hath Aik Sanfe Nazuk Ka Hai?
Guzaray Bohot Hi Haseen Pal Hum Nain Sath Mil Kay Thay
Phir Achanak Meri Tanhai Bi Mujhay Mana,Nay Lout Ayi Aur!
Us Ka Mazi Bhi Tha Louta Poray Jazbay Say
Main Phir Wapas Usi Bay Wajha Si Sham Kay Sang Tha
Aur Us Ki Hansi Ka Shor Meray Kan Main Tha
Main Wada To Nahin Karta Ky Bhol Jaon Ga Us Ko
Woh Yaad Bhi Nahin Ayy Gi Aisa Bhi Nahin Kahta
Bohot Hi Mohtarm Jazbay Hain Bus Dill Main Hi Rehtay Hain
Main Dhool Mitti Say To Zaroor Bachaon Ga Inko

Rate it:
Views: 1441
13 Sep, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets